Don't wanna be here? Send us removal request.
Text
Allah ke Nabi (ﷺ) ke is dunia se rukhsati ke baad Abu Baqar Siddhik (R.A.) Muslamano ke pahle khalifa baney. Aapki khilafat me “Muselima Kajjab” naam ke ek shakhs ne Naboowat ka dawa kiya. Hazrate Abu Baqar Siddhik ne uss Kajjab se jihad kiya , uss jung me takreeban 70 Sahaba Shahid huye jo Huffaze Quraan the.
Tou Hazrate Umar (R.A) Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A.) ke paas aaye aur kaha ke:
“Aye Ameer-ul-Mominin ! agar huffaz is tarha khatam ho jayenge tou Quran alag alag Gharo me alag alag hisso me rakhey hue hai jisey samjhne me logon ke liye pareshani hogi, lihaja hum ek kaam karte hai – Aap sabse kahiye ke jo bhi Quraan ka hissa unhone likha tha wo pura laye, hum Huffaze Quraan ko bithayenge, purey Auraaq ko tarteeb se jama karenge aur jama karke ek jagah seeh denge.“
Lihaja waisa hi kiya gaya , ek Nuskha banaya gaya , tou pahli martba Quraan ne kitab ki shakl li aur isko rakha gaya Ummaha-tul-Mominin Aayesha (R.A.) ke ghar me, fir baad me jab Umar (R.A) Khalifa baney tou uss nuskhe ko laya gaya Umar (R.A) ke ghar.
1 note
·
View note
Text
Tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko Jibrayeel (Alaihi Salam) ke jarye Allah Rabbul izzat Quraan ki aayte sikhatey. fir Ek Ramzan se agle saal ke Ramzan tak jitna Quraan Nabi (ﷺ) par nazil ho jata utna pura hissa Jibrayeel (Alaihi Salam) aapse baar baar suntey, taaki Hifz accha ho jaye.
Quraan ka jitna hissa jo Nabi-e-Kareem (ﷺ) par Nazil hota utna Aap Sahaba ko boltey. Sahaba unke Zamane me jo kuch bhi likhne ke Wasail hua karte they unpar wo aayte likh letey, jaise Patthar par, Khajur ke Darkhtto ke patto par jis tarha bhi likh sakte they likh liya karte aur usey apne gharo me mehfuz rakh detey. is tarha alag alag mouko par Quran Nazil hua.
0 notes
Text
Tou ye jo 114 Surah hai, inko Allah Ta’ala ne 23 Saal (years) Nabi (ﷺ) ki hayat me alag alag mouko par thodi thodi aayate karke nazil farmaya. Jibrayeel (Alaihi Salam) aatey, aap par aayate nazil karte , aapko yaad karwatey jiske talluk se Quran me hi Allah ne farmaya:
❝ Aye mere Nabi! iski tilawat me zaldbaji se apni Zuban mat pheriye , Hum aapko iski Qiraat karayenge, iske maney samjhayenge aur isey jama kar ke aapko de dengey.”
[Quran 75:16-19]
0 notes
Text
Quran kaise Nazil hua ?
Allah ke Nabi (ﷺ) farmatey hai ke “Jibrayeel Alaihi Salam ko Allah ta’ala jab kabhi hukm detey tab jibrayeel (Alaihi Salam) Quran ki Aayte lekar mere paas aatey.”
Mafhum-e-Hadees
Aaj aksar hum me ek Galatfehmi hai ke Quran 30 paaro me nazil hua. yaad rakhiye paara koi cheez nahi hoti. kyunki Arabi me “Paa” nahi aata , ye urdu aur farsi lafz hai.
0 notes
Text
*Bismilahirrahmanirraheem*
*Deen e Islam par Qayam rahne ki dua - Ya Muqallibal Qulub thabbit Qalbi Ala Deenik*
Shahr bin Hawshab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Umm Salma Radi Allahu Anha se pucha ki Eh ummul Momeenin Rasool- Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam aapke pass jab rahte to aksar kaunsi dua kiya karte they, unhone jawab diya :
يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ
Ya Muqallibal Qulub thabbit Qalbi Ala Deenik Tarjuma ~ Aye dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh.
Phir farmane lagi ki maine Rasool-Allah Sal- Allahu Alaihi wasallam se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain, Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Umm Salma Radi Allahu Anha koi shakhs aisa nahi ki uska dil Allah ki do ungliyo ke beech mein na ho wo jisko chahta hai (haq par) qayam rakhta aur jisko chahta hai teda kar deta hai (isliye humko ye dua maangte rahna chahiye)
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1446-Sahih
0 notes
Text
Al - Malik - Baadsha Haqeeqi
Name Meaning: Al-Malik is the One who possesses the attribute of Mulk: Kingdom, dominion, power, authority. Allah is Al Malikul Haqq. He is the One who possesses the disposal of all affairs. He commands, makes, and does whatever He Wants. And Allah gives Mulk to whoever He wants, as Mulk belongs to Him.
How to live by this Name?
We should be humble in front of The King of Kings; we should never see ourselves above the level of an 'abd (slave). We are not allowed to call ourselves by great names, like Malik. In our daily life we should remain within our bounds set by Allah, Al-Malik. Then High above all be Allah, the True King.
Surah - Taaha (Ayat No - 114)
فَتَعٰلَی اللّٰہُ ال��مَلِکُ الۡحَقُّ
Tarjuma - Aisy hii unchi shaan hai Allah ki , jo saltanat ka haqeeqi malik hai.
0 notes
Text
وَ لِلّٰہِ مُلۡکُ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ ۚ وَ اِلَی اللّٰہِ الۡمَصِیۡرُ ﴿۴۲﴾
Tarjuma ~
زمین و آسمان کی بادشاہت اللہ ہی کی ہے اور اللہ تعالٰی ہی کی طرف لوٹنا ہے
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and to Allah is the destination.
Zameen wa insaan ki badshahat Allah hi ki hai aur Allah Taala hi ke taraf lautna hai.
Surah - Al - Noor (Ayat No-42)
0 notes
Text
Quran kis par Nazil hua ?
Allah Taaal ne Quran-e-Kareem Apne Aakhri Nabi Muhammad (ﷺ) par Nazil kiya. iske bare me Bukhari Sharif ki jild number 6 me beshumar Quran se Mutalik Aahades aati hai.
Allah ke Nabi (ﷺ) ke barey me Allah Rabbul Izzat Quran me khud Gawahi deta hai ke:
❝ Mere Nabi (ﷺ) is kitab ke nuzul se pahle na kuch padh sakte they aur na likh saktey they, agar inhe padhna likhna aata tou kafir kehtey ke Nabi ne khud Quran bana liya” [Quran 29:48]
Tou ye baat wajeh thi ki Nabi (ﷺ) padhna likhna nahi jantey they. Encyclopedia Britannica bhi iski gawahi deti hai ke jitni tarikhi hawale (historical evidence) miltey hai uss se yahi maloom hota hai ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ko padhna likhna nahi aata tha.
0 notes
Text
Quran kab Naazil hua ?
Allah Rabbul Izzat ne Quran me farmaya :
❝ Ramzan wo Mahina Hai Jisme Quran ko humne nuzool kiya.” [Quran 2:185]
Ramzan ke mahine me kab nazil hua uske talluk se Surah Qadr me Allah ne farmaya:
❝ Humne is Quran ko Shabe Qadr me nazil kiya” [Quran 97:1]
0 notes
Text
Quran Kya Hai – What is Quran ?
Quraan ka Buniyadi Ta’aruf, Quran kaha se aayi aur kisne likhi janiye tarikh ki roshni mein
Aksar logon me ye baat paayi jati hai khas tour se humare Gairmuslim aur Khud Muslim bhaiyo me ke “Quraan Kya Hai ?” isey kisne likha aur kab nazil hua ?. tou aayiye iski talluk se jo Galatfehmi hai uska ijala karne ki koshish karte hai.
0 notes