shahsalim
shahsalim
Gosha nasheen
169 posts
Gum gaye is dunya main
Don't wanna be here? Send us removal request.
shahsalim · 4 days ago
Text
Jis haal mein jeena hai, woh malaal kya hai
Sawaal jo karoon, phir woh zawaal kya hai
Khatm kissa hua, phir woh hissa kya hai
Jo subah bhi aayi, to phir shaam kya hai
Yeh din bhi guzar gaya, to kaam kya hai
Yeh chalti hui raah, yeh talaash ki raakh
Jo manzil na mile, phir woh maqam kya hai
Yeh chehre, yeh bheer, yeh shor ka rang
Aakhir koi na samjhe, to paighaam kya hai
Jo khwab bike hain bazaaron mein sab
Agar yeh bik hi jaayein, to inka daam kya hai
1 note · View note
shahsalim · 10 days ago
Text
Jab se insaan ki zaat bani hai
Tab se ik kaash saath laga hai
Har qadam par khalish biki hai
Har nafas mein fasaad laga hai
Khwab palkon pe jalte rehte
Koi wada adhoora laga hai
Dard dil ka naseeb thehra
Gham ko dil se gehra laga hai
3 notes · View notes
shahsalim · 16 days ago
Text
Sheher ki imaaraton ke peeche, aaj phir sooraj chhup gaya
Ek aur din bhi yahaan, khamoshi mein dhal gaya
Phir shuru hoga yeh chakkar, ek naye savere ke saath
Kya barf-e-hayaat do kiranon ke darmiyaan pighal gaya?
Aankh khulti hai, toh is daur mein uljhe rehte hain
Phir kyun aankh band hone tak bhi yeh safar na kat gaya?
Sheher ki imaaraton ke peeche, aaj phir sooraj chhup gaya
Ek aur din bhi yahaan, khamoshi mein dhal gaya
3 notes · View notes
shahsalim · 20 days ago
Text
Kyun sahoon zarb pe zarb, tegh-e-naazuk banne ko
Kyun gudaaz-e-jaan ko doon aatish-e-andaroon mein pighalne ko
Kamil na sahi hoon magar, apni ek shana’at hai
Kyun rahoon just-o-juhd mein, soorat-e-digar badalne ko
Jo na tha taqdeer mein, na fehm mein aaya kabhi
Kyun barhoon is raah par, be-sabab thaharne ko
Jo hoon, wahi kaafi hai, gar sadaqat baaqi ho
Kya zarurat hai mujhe har qaalib mein dhalne ko
1 note · View note
shahsalim · 25 days ago
Text
Band muthi mein bhar loon saari kainaat ka khwab
Jo kabhi socha na tha, woh bhi ban jaaye kitaab
Umeed ke dhaagon se baandh loon har lamha
Toot jaye to bhi, rahe dil mein uska jawab
Kash iss muqaddar ki lakeer mein likh saku kuch roshni
Warna khulti muthi mein reh jaaye sirf khala aur azab
1 note · View note
shahsalim · 26 days ago
Text
Khushboo nahi aati murjhaaye phoolon se
Sooni hai sada ab khamosh honton se
Waqt ke giley mein chhupi jo guzri zindagi
Woh lamha nahi laut’ta beete palon se
1 note · View note
shahsalim · 1 month ago
Text
Gham sambhal ke chhor diye is haal mein,
Hum tadpe sirf is liye, soch-e-visaal mein.
Khayalon mein bhi kuch na kaha usne,
Shayad chup tha woh bhi meri tarah, is ikhtiyaal mein.
Zakhm to bhar gaye the dard ke saaye se,
Phir kyun aankhein nam hui usi ek sawaal pe.
Waqt guzarta gaya, dil ruk sa gaya,
Kaise likhi jaaye firaaq, ek jaam-e-misraal mein?
Zehar bhi meetha laga uski yaadon ke saath,
Kya mila dil ko, bata, is jhoot-e-kamaal mein?
Bichhadna-e-muqaddar ko roshan kar diya,
Kya sab kuch likha na tha pehle se, kitaab-e-nihaal mein?
Is liye gham sambhal ke chhor diye is haal mein,
Bas jeeye ja rahe hain ab, soch-e-misaal mein.
4 notes · View notes
shahsalim · 1 month ago
Text
Waqt nahi maangta main,
Ke inteha ki baa’hon mein hayyar para hoon.
Ghari ki kaantay ruk se gaye hain,
Un ke darmiyaan, main sayyar khara hoon.
Jo lamha guzar chuka, aur jo aane wala hai,
Un ke darmiyan, main tayyar raha hoon.
3 notes · View notes
shahsalim · 1 month ago
Text
Ab main jaise hi ek boond girti hai,
To paani ka tawazun bikhar jaata hai.
Jahalat ki daraaron mein agar zahanat gir jaye,
To insaan ki buniyad tak hil jaati hai.
Baat-e-bayaan ki chahat to rakhte ho,
Magar alfaaz ka silsila ho chuka hai saqat.
Yeh soch jo tumhare zehan mein chup si pal rahi hai,
Wahi tumhari kismat ka sirf ek andaaz hai — faqat.
4 notes · View notes
shahsalim · 1 month ago
Text
Shaab-e-afsurdagi yaad hai,
Dil ka aakhri khanum yaad hai.
Visaal ki tamanna bhool gaye ae dost,
Lekin khalwat ki woh khushboo yaad hai.
Sargoshiyon mein raat kati thi kabhi,
Ab sirf wohi sargoshi yaad hai.
Chahat ki koi tasreeh nahi baaqi,
Bas tanhai ka marham yaad hai.
Na shikwa raha, na koi dastaan,
Sirf ek khali bharam yaad hai.
Kabhi khud se mulaqat hoti thi,
Ab khwabon ke bus zakhm yaad hai.
Na tha koi, magar sab tha paas,
Ab bheed mein bhi tanhai yaad hai.
Woh lamha-e-khamosh jab kuch na kaha,
Us lamhe ka har aalam yaad hai.
0 notes
shahsalim · 2 months ago
Text
Kat jaye yeh rooh ka safar kal raat tak
Mil jaye ek naya mauqa us hayaat tak
Badloonga to kuch nahi is bad-kirdaari mein
Bas naam faash kar doon us naqab tak
Baatin ne jhuk ke dekha tha aaina kabhi
Tab jaam toota, chehra tha khwab tak
2 notes · View notes
shahsalim · 2 months ago
Text
Milenge phir kabhi, koi baat nahin
Poochenge unka naam-e-taskeen, koi baat nahin
Tha nahi aitbaar-e-yaqeen alam par filhaal
Bichhad gaye to sahi, koi baat nahin
Nasheen ne har dard ko khamoshi se likha
Jisne parh liya to theek
Aur jispe guzri—koi baat nahin
6 notes · View notes
shahsalim · 2 months ago
Text
Dikhte nahin ab woh khwab kahaan
Sach hoon, un mein woh baat kahaan
Neend se hosh tak safar to hua
Magar haqeeqat ki woh buniyad kahaan
Gosha ko na tha khud pe bhi aitbaar kabhi
Woh jo khud se mila, uski pehchaan kahaan
7 notes · View notes
shahsalim · 2 months ago
Text
Zakhm de kar jo muskurane wale
Zeher ko bhi shifa banane wale
Apni khaamiyon ko maante nahi
Phir hum kaise hue rulane wale
Naam na leke jo zubaan par hain
Kya kahen aise dil lagane wale?
Wafa ko yaad rakhte hain dil se sab
Phir bhi hain tanha nibhaane wale
2 notes · View notes
shahsalim · 2 months ago
Text
Jahan ke aaghaz mein hi fahm madhosh hai
Zara dekh, kis qadar yeh haal faramosh hai
Hai waazeh, tamashayi nahi main is kashti ka
Phir kyun har lehar yahan dafan-e-josh hai?
4 notes · View notes
shahsalim · 3 months ago
Text
Duniya e ghol dar aghosh e husn ast
Ke jaal phek chuka hai jahan be rajast
Ghaib ul maut mai hai maza ae dost
Fikr is jahan ki mujhe nahi karni, main hoon mast
2 notes · View notes
shahsalim · 4 months ago
Text
Dhoop ki kirnon ke peeche chalte rahe
Shayad milein hum kisi lab-e-shafaq pe
Aftaab-o-maah ka ek hi baar hai
Duniya ka tawazun hi dushwaar hai
2 notes · View notes