Farzi dunya ki kahaniyo'n mein. Apne khayalo'n ko kaaghazi likhta main | S_A
Don't wanna be here? Send us removal request.
Text
Ab dunya samjhne ko qalm hi kaafi hai thoda likha hai bs thoda likhna baaqi hai
0 notes
Text
The best shayera I've ever known said me this;)
Ye duniya sirf safar hai jo ke khatm hona hai
Par manzil ye nahi ~🖤
1 note
·
View note
Text
Meri chahat se badhkar kabhi
mujhe chaho toh sahi
Meri soch ke har raaste
Tu chalta hai jis trha
Us qadar apni zehn ki dunya
Saare makaan mere naam basao toh sahi
Meri tamaam Khush'yon ka kinara tu hota hai
Apni takleef'on ka sahara banao toh sahi
Baat aakhiri waqt tak sath rehne ki krte ho
Ho mujhe mehsoos wo sath nibhao to sahi
Muje es qadar chao toh sahi
Mera ishq kaamil ho toh sahi....
SA🖋️
0 notes
Text
Chahat hogi talabh ki talash krna
Mano dawa ho asar ki talash krna
Krna bs itna sa kaam mera
Mohobbat ko puchna pata mere talabh ki
Miljaye toh dafn jaha talabh us qabr ko talash karna
S_A🖋️
0 notes
Text
Kabhi unse meri yu mulaqat ho
Sochu subha toh shab tak mere sath ho
Qaid maine pinjre mein ek parinda rakha hai
Ussey kardu azaad fr bhi mere paas ho
Meri mohobat mein es qadar giraftaar ho
Kyu na jalega zamana meri chahat ko uske
Jab mangu parwardigara bs unki hi khair ho
Gham likh rakha hai andheri Raato'n mein
Ujalon se ab mohobat ka q hi karobaar ho
Unka sath ho na ho ye raat sath ho
Aye raat tujhse meri har mulaqaat ho
Rabba kar dur unke parchai unki har yaad se
Dil jiske basera faraib ka na hmse koi pyaar ho
S_A🖋️
0 notes
Text
En ehsaason ke sath taqat sehne ki dena khuda
ke fazao'n mein shor hai hijr an-qareeb
Hijr- separation An-qareeb- nazdeek
0 notes
Text
"Expectations" are the tightest slap 'reality' hits straight on your face.
0 notes
Text
Tere baad bhi ek kahani hogi... 🖤
Jisey baya'n main karunga
Aur unme Baatien sirf tumhari hogi
Raaton ko neendon se teri
kis tarha soya hoon main
Har raat ab yahi baat
tere yaado'n ki zubaani hogi
Likh rakha hai maine tujhe
bas itna hi khaas es zamee'n pe
Ke arsh walo'n tak ye baat zarur pauhnchi hogi
Naam tera zubaan pe manzur nahi mujhey
Saari taarefein teri bas khuda ke samne hogi
Khud ke haatho'n jo dunya sajayi hai maine
Qayamat se phele es jaha'n mein badi tabahi hogi
Tere baad bhi ek kahani hogi...🖤
🖋️
1 note
·
View note
Text
Sapno ke sheher tabhai nazar aayi
shikwa haqeeqat se kiye baithe the..
0 notes
Text
Es matlab parast se zamane mein
Bematlab kisi ko apna banaya
.
Na chahat na arzoo na pane ki khwahish
mujhko fr bhi kyu tujhpe malaal aaya
Mere dil mein ye ek sawal aaya
Seerat teri ek saaf seeshe ki trha
Fr surat mein teri saara jawab aaya
.
Teri maujoodgi ko haqeeqat keh du ya fitoor koi
En aankho'n ko na tujh sa haseen kabhi koi khaab aaya.
S_A🖋️
0 notes
Text
Aje takk mainu aisa yaar nahiyo milya
Jide te yakeen karaan akhan bandh kar ke
Bade mile ne mainu do shaklan waale.
~Jaani
0 notes
Text
🖤
Mera dil khuda tune kis fursat mein banaya hoga
Aksar esme baseara unka hota hai
"Jinke makaan naseeba'n de sheher mayassar nahi"
S_A🖋️
0 notes
Text
Kitaabo'n se karta baatien ab mein tera naam leke
Khwaabo'n mein jaagta raatien kabhi din mein khwaab dekhe
Andhero'n mein paihra yaadein deti aafsoon hai tera chera
Ghumshuda sa khoya tujhme sochta tujhe en lafzo'n se ghera
Aafatein hi aafatein hai kar rahi ab hai yaha baseira
S_A
0 notes
Text
Adhuri kahaniyo'n ki kitaab liye baitha
Sar mere andhera aasmaa'n
Main apne sar azaab liye baitha
Likhta main apni neendo'n ko sukoo'n bhi kabhi
Agar yu na hota Tanhaiyo'n mein jazbaat liye baitha
S_A🖋️
0 notes
Text

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi Ke Azaab Rehnay do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do

Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do

Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo Mohsin
Baki Saray Sawaab Rehnay Do
•Mohsin Naqvi

Posted one of my favorites after ages♥︎
159 notes
·
View notes
Text
"Parwardigara"
Doh jaha'n mein hukumat teri chaldi ae
Namaze tere hi naam di ada karda'n
Aankhein aansuo se bhare yu sajde chaunda
Jo na aaye aansu toh apni khair mangda
.
Tu na sune aysi faryaad ni koi
Na jane tu aysa dil da raaz ni koi
Parwardigara dunya menu badi ajeeb lagdi hai
Musibata'n nu khud ko tere kareeb jane hai
Kare gunah toh khuda kaun na phechane hai
.
jaagon saari raat sukoon ni koi
Khule aankhon se kitne hi khwaab bune hai
Saare khwabo'n ki taaber kar tere hawale
En panno pe Jazbaato'n ke sailab Bhare hai
.
Mujhey faisle tere manzur hai saare
Har haal main shukr tera ada karda'n
Doh jaha'n mein hukumat teri chaldi ae
Namaze tere hi ishq di ada karda'n.
S_A🖋️
1 note
·
View note
Text
Guzar jayegi shaam ye shaam mhemaa'n hi toh hai
Na le jo tera naam ye ishq-e-benaam hi toh hai
Jazbaato'n ke sheher ye mere shabdho'n ka kohraam hi toh hai
Zehmat na ho tujhe ye teri zamanat ka humpe ilzaam hi toh hai
Kyun hu'n main khud se ruswa ye soch mere zehen subh-o-shaam hi toh hai
Chalta waqt hai gawah Raato'n ko humari neendein haram hi toh hai.
S_A 🖋️
0 notes