Don't wanna be here? Send us removal request.
Text
Sight of dew drops on petals, reminds me of you … sinfully beautiful soft sight, pearls of sweat beads on you. Delicate and fragrant, mesmerizing you! Makes me want to live… breath! Breath you. Fill you in my veins, in my chest treasure you. Fill my heart with you, live my life living you. - Zaay

A Single Rose, 1986
Mickey Crisp
107 notes
·
View notes
Text
This is all a Man needs! This is all he strives for! This... can heal, this can elevate, This can make him want to live, this can motivate. This is all a Man needs.. For this... he can forever wait. - Zayed
783 notes
·
View notes
Note
Hey, I read one 'sher' on your blog but I can't find it now. This is the line I remember "ہے اگر عشق تو پھر عشق لگے، رحم نہیں ". Can you send me the complete sher?.
Hi there, sorry I can't remember any sher like this. You hv to give me more clues than this, like shayar's name or something.
43 notes
·
View notes
Text
bass yűñ'hii pűch le..
Pűchti hai mujh'se.. maiñ huuñ kahāñ. Pűchti hai mujh'se.. maiñ huuñ kahāñ. kahűñ maiñ kyā? Gumm hűñ kHayāloñ meiñ ek m'āsűm se kHayāl ke… kehne ko bass yahiiñ hűñ, bass kehne ko yahiiñ hűñ.. maiñ aur kahāñ?
Pűchti hai mujh'se.. maiñ hűñ kahāñ. kahűñ maiñ kyā? kahűñ maiñ kyāā? Dhűñd apni sāñsoñ meiñ.. Baserā mera wahiiñ.. rehtā hűñ wahāñ.. … bass, aur kahāñ?
Na pűch mujh'se ke maiñ hűñ kahāñ, ke… nikal na padűñ phir, dhuuñdne kHud'ko! ke… nikal na padűñ, phir dhuuñdne kHud'ko! Saañsoñ meiñ dhuuñd apni mujh'ko! Saañsoñ meiñ 'rakkh' apni mujh'ko! Ae Jaanaa, sunn… Dhadkanoñ se 'sil' apni mujh'ko.
Phir jo tű chāhey, to bass yűñ'hii pűch le.. ke maiñ hűñ kahāñ. phir maiñ tujh'se kahűñ, ke sirf kehne ko nahiñ.. yahiiñ hűñ, yahiiñ hűñ.. maiñ, aur kahāñ?
1 note
·
View note
Text
Kisi mauj ki maanind le jaa mujhe kahiiñ… … haath meiñ haath ho.. chal aa chaleiñ phir kahiiñ.
chal saath suntey haiñ takraanaa maujoñ ka saahil par.. unka woh tuut'ke bikhar jaanaa aur mera tujh meiñ kho jaanaa… chaltey haiñ wahiiñ, jahaañ kabhi saath khadey thay… woh nishaañ baaqi nahiñ par woh bass aise hi woh nishaañ dhuuñdtey haiñ.
Samandar ki woh mehek aur saath mehek thii teri…
nazaaraa woh geeley hotey phir sukkhtey tere payroñ ka bhi yaad hai mujhe. Har'su hoti woh namkeen hawaa… aur laboñ par thii tu meri…
Kabhi namkeen kabhii mithaas teri yaad hai.
Pataa bhi na chaltaa ke duubtey suuraj ka nazar phir ek baar chuuk gaya… Din ek baar tere saath meri zindagi ki gehraayi meiñ duub gaya..
khadaa huuñ saahil par ek arsaa hai hua - Zayed
0 notes
Text
.. yeh yaad mujhe aataa hai!
Lagta mujhe nahiñ ke maiñ tűt chukā, gHamgiin bhi nahiñ maiñ. Tűtā bhi nahiñ, gHamgiin bhi nahiñ… to yeh kyuñ nahiñ lagta ke maiñ kHush huuñ? Din ubhartā hai.. Kayii dinoñ se har din,
Din ubhartā hai… guzartā hai. Har din kisi na kisi baat par muskurātā bhi huuñ? Haañ! har ik bikharti raat meiñ yeh yaad mujhe aataa hai… ke mehsűs ab kuch hota nahiñ!!! - Zayed
0 notes
Text
zakHm Zayed!
in andheroñ meiñ kuch yaadoñ ko jalaya hai
is tanhaayi ko, beetey lamhoñ se sajaaya hai
yaadgaar is pal ko banaane, gehraaiyoñ meiñ chupey zakHmoñ bulaya hai. - Zayed
0 notes
Text
Rishtaa apnoñ se...
Rishtaa apnoñ se aisa ke maiñ taursuuñ par haath naa aye
Rishtaa mera mere sapnoñ se aisa ke maiñ duuri un se chaahűñ
par woh majnűn maashűqa ki maanind baaheiñ phaylaaye… dil lalchaaye - Zayed
0 notes