Tumgik
#14 May - Mother's Day Special { Maa Shayari } 2017 http://www.fblikeshayaris.com/2017/05/14-may-mot
fblikeshayaris · 7 years
Photo
Tumblr media
14 May - Mother's Day Special { Maa Shayari } 2017 http://ift.tt/2prcvpf
14 May - Mother's Day Special { Maa Shayari }  2017
Maa Shayari, Maa Ke Pair Chhukar
Very Nice Shayari Sms about Loving Mother
Kisi Bhi Mushkil Ka Ab Kisi Ko Hal Nahi Milta,
Shayad Ab Ghar Se Koi Maa Ke Pair Chhukar Nahi Nikalta.
किसी भी ​मुश्किल का अब किसी को हल नहीं मिलता,
​शायद अब घर से कोई माँ के पैर छूकर नहीं निकलता​।
Tere Kadmon Mein Yeh Saara Jahan Hoga Ek Din,
Maa Ke Hothhon Pe Tabassum Ko Sajaane Wale.
तेरे क़दमों में ये सारा जहां होगा एक दिन,
माँ के होठों पे तबस्सुम को सजाने वाले।
Maine Kal Shab Chahton Ki Sab Kitaabein Faad Di,
Sirf Ek Kagaz Par Lafze Maa Rahne Diya.
मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दी,
सिर्फ एक कागज़ पर लफ्जे माँ रहने दिया।
Maa Shyari, Musibat Mein Maa Yaad Aati Hai
Touching Shayari Lines about Mother
Rooh Ke Rishto Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye,
Chot Lagti Hai Humein Aur Chillati Hai Maa,
Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
Jab Musibat Aa Jaye Toh Yaad Aati Hai Maa.
रूह के रिश्तों की ये गहराइयाँ तो देखिये,
चोट लगती है हमें और चिल्लाती है माँ,
हम खुशियों में माँ को भले ही भूल जायें,
जब मुसीबत आ जाए तो याद आती है माँ।
Khuda Ne Yeh Sifat Duniya Ki Har Aurat Ko Bakhshi Hai,
Ke Woh Paagal Bhi Ho Jaye Toh Bete Yaad Rehte Hain.
ख़ुदा ने ये सिफ़त दुनिया की हर औरत को बख्शी है,​
कि वो पागल भी हो जाए तो बेटे याद रहते है​​।
Bahut Bura Ho Phir Bhi Usko Bahut Bhala Kahti Hai,
Apna Ganda Bachcha Bhi Maa Dhoodh Ka Dhula Kahti Hai.
बहुत बुरा हो फिर भी उसको बहुत भला कहती है
अपना गंदा बच्चा भी माँ दूध का धुला कहती है।
Nahi Ho Sakta Kad Tera Uncha Kisi Bhi Maa Se Ai Khuda,
Tu Jise Aadmi Banata Hai Woh Use Insaan Banati Hai.
नहीं हो सकता कद तेरा ऊँचा किसी भी माँ से ए खुदा,
तू जिसे आदमी बनाता है, वो उसे इन्सान बनाती है।
14 May - Mother's Day Special { Maa Shayari }  2017
Maa Shayari, Maa-Baap Phir Nahi Milte
Best Shayari for Mother and Father
Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa-Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Jo Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.
सबकुछ मिल जाता है दुनिया में मगर,
याद रखना की बस माँ-बाप नहीं मिलते,
मुरझा कर जो गिर गए एक बार डाली से,
ये ऐसे फूल हैं जो फिर नहीं खिलते।
Yeh Aisa Karz Hai Jise Main Adaa Kar Hi Nahi Sakta,
Main Jab Tak Ghar Na Aa Jaun Maa Sajde Mein Rehti Hai.
ये कैसा क़र्ज़ है जिसे मैं अदा कर ही नहीं सकता,
मैं जब तक घर न आ जाऊं माँ सजदे में रहती है।
Sakht Raahon Mein Bhi Aasaan Safar Lagta Hai,
Yeh Meri Maa Ki Duaaon Ka Asar Lagta Hai.
सख्त राहों में भी आसान सफ़र लगता है,
ये मेरी माँ की दुआओं का असर लगता है।
Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai,
Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai.
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है,
माँ दुआ करती हुई ख्वाब में आ जाती है।
Uske Hontho Pe Kabhi Bad-dua Nahi Hoti,
Bas Ek Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti.
उसके होंठों पे कभी बददुआ नहीं होती ,
बस इक माँ है जो कभी खफा नहीं होती।
14 May - Mother's Day Special { Maa Shayari }  2017
Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai,
Apne Haathon Ko Chulhe Mein Jalana Yaad Aata Hai.
Woh Daant-Daant Kar Khana Khilana Yaad Aata Hai,
Mere Vaaste Tera Paisa Bachana Yaad Aata Hai.
Kahin Ho Na Jaye Ghar Ki Musibat Laal Ko Maloom,
Chhupa Kar Takleefe Tera Muskurana Yaad Aata Hai,
Jab Aaye The Tujhe Hum Chhod Kar Pardesh Meri Maa,
Mujhe Woh Tera Bahut Aansu Bahana Yaad Aata Hai.
मेरी खातिर तेरा रोटी पकाना याद आता है,
अपने हाथो को चूल्हे में जलाना याद आता है।
वो डांट-डांट कर खाना खिलाना याद आता है,
मेरे वास्ते तेरा पैसा बचाना याद आता है।
कही हो जाये ना घर की मुसीबत लाल को मालूम,
छुपा कर तकलीफें तेरा मुस्कुराना याद आता है।
जब आये थे तुझे हम छोड़ कर परदेश मेरी माँ,
मुझे वो तेरा बहुत आंसू बहाना याद आता है।
http://ift.tt/2q28aKZ Maa Shayari, Maa Shayari Collection, Maa Shayari in Hindi Fonts, Maa Shayari With Images, Mother Shayari, Mothers Messages May 09, 2017 at 05:20PM
0 notes