Tumgik
Text
“Dil itni mohabbat’ten paa kar bhi us aik mohabbat ke liye tarapta hai, jo hasil nahi. Vo aik la hasil mohabbat jaany kyun sab mohabbaton par haawi hai.”
• Bano Qudsia
157 notes · View notes
Text
Tanhaii insan ko andar se khokhla kar deti hai. Musalsal dil kisi anjaan bojh tale daba rehta hai. Wo mohabbat jo apka haq hai agar wo bhi na mile to insan zindagi jeena chor deta hai wo bus fir waqt guzarne ka aadi ho jaata hai.
1 note · View note
Text
“Is shor machati dunya mein ik tum he sakoon ka lamha ho…”
— In this world of chaos, you are a moment of peace
1K notes · View notes
Text
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Saamne baitha tha mere aur wo mera na tha ,
.
Wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
Main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
.
Raat bhar pichhli si aahat kaan mein aati rahi,
Jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
.
Main teri surat liye saare zamane mein phira,
Saari duniya mein magar koi tere jaisa na tha,
.
Aaj milne ki khushi mein sirf main jaaga nahin
Teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
.
Ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
Aankh dhundlai hui thi, sheher dhundlaya na tha
.
Sainkadon tufan, lafzon mein dabe the zer-e-lab
Ek patthar tha khamoshi ka, ki jo hatta na tha
.
Yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
Bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
.
Maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
Warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
- Adim Hashmi
1:05 AM, Tuesday, August 11, 2021
Bangalore, India
117 notes · View notes