ritesh-writes
ritesh-writes
Ritesh: Hindi/Urdu poet
435 posts
Don't wanna be here? Send us removal request.
ritesh-writes · 8 months ago
Text
Monday, December 30th ❤️
Alag nazariya chahiye nazarein milane ko,
Nazron ki khamoshi mein gehri baatein hoti hain. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Mere sawalon ke andheron ko,
Apne jawabon ki roshni doge kya?
Chale jaana mujh se duur phir kabhi,
Sirf itna bata do, aaj miloge kya? 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Thursday, December 19th ❤️
Sawal: Kis baat ki khoj kar rahe ho?
Jawab:
Ye subah ke shor mein saare kyun uljhe hain,
Kyun raat ki paheli ab bhi sulajhti nahin?
Kyun mujhe kisi aur se gile shikwe hain,
Kyun meri rooh mujh se bolti nahin? 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Wednesday, December 18th ❤️
In English we say:
"At it's best, life is completely unpredictable"
But In Urdu I wrote:
Purani likhi kuch nazmein padhi apni,
Naadaani, Ishq aur khush khyali se labrez.
Halka maloom tha mujhe,
Aage ki nazmein badnaami, bekhayali aur bewafai se bhari hongi. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Wednesday, December 18th ❤️
Iss baat ka malaal naa rakhna ki ye saal mahaj guzar gaya,
Iss baat par fakr karna ki tum issey guzaarne ke kaabil thay. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Tuesday, December 17th ❤️
Sawal: Wo kitna zaruri tha tumhare liye?
Jawab:
Wo meri parchhai sa qareeb tha,
Maano jaise mera naseeb tha.
Uske rehne se musqilein aasaan lagti thi,
Uske jaane se zindagi hi beimaan lagti hai. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Monday, December 16th ❤️
Sawal:
Kya 2024 yaad rahega?
Jawab:
Qeemti tha ye saal,
Kaafi kuch bana aur bigaad gaya.
Kuch purane raabte khatm ho gaye,
Kuch naye saath udhaar de gaya. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Thursday, December 12 🗣️
Wo mila tha ek shaista gul ki tarah,
Usne duniyadari seekhi aur kaantedaar ho gaya. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Tuesday, October 10th ❤️
Sawal:
Kaisa hai wo ab?
Jawab:
Unka Surat-e-haal jo hoga so hoga,
Main khud Zinda hoon wahi ajooba hai
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Saturday, December 7th ❤️
Wo pehle si khoobsurat shaamein ab kyun nahin naseeb hoti?
Waqt ne unki bhi muskurahtein chheen li hai kya? 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Friday, December 6th ❤️
सदायें tujh ko bhejta hoon,
नज़्मों mein piro kar main.
पर tu kuch badal sa gaya hai,
तुझे ab kuch sunai nahin deta. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Thursday, November 28th ❤️
Aye zindagi,
Kuch Qifayat humein bhi mil jati teri jaddojehad se,
Wo purani befikri, wo fitoor,
Aaj bhi zehen mein dafn kiye baithe hain. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Wednesday, November 27th ❤️
Ek raat Yaadon ne li ubaasi,
Aur uski Tasveer talaashne chal pade hum.
Halka maaloom tha humein,
Poori raat barbaad hone ko hai.
0 notes
ritesh-writes · 9 months ago
Text
Wednesday, November 27th ❤️
Mere ishq ki khuluusiyat par sawal kiye usne,
Iski shikayat karun ya shikwa?
Samajh nahin aata. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 10 months ago
Text
Saturday, November 23rd ❤️
Aakhir kyun rooth gayi qismat ye humari,
Kya waqt ki hera-pheri hui,
Pehle saath bune sapne humne,
Phir kabhi naa baat teri meri hui. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 10 months ago
Text
Kya haseen kahani thi humari,
Kadr se jisse barkat mili,
Beqadri se jiski hui qurbani.
Maqbool si fiza tha,
Jab tak rahi iski rawani.
Fiza mein dhool mil gayi,
Jab khatm hui ye kahani. 🍁🍂
0 notes
ritesh-writes · 10 months ago
Text
Thursday, November 14th ❤️
Kisi se kaha-suni kahan hoti hai ab?
Naa kehne ka shauk baaki raha,
Naa sun-ne ki qabiliyat. 🍁🍂
0 notes