Tumgik
rritunjay · 2 years
Photo
Tumblr media
Rritunjay turned 4 today!
2 notes · View notes
rritunjay · 4 years
Photo
Tumblr media
5 posts!
0 notes
rritunjay · 4 years
Text
Thoda
Thoda sambhalkar chalta hun zamane ki raahon par toote dilon k tukde bahut hai,
Khusiyon k kisse to milte nahin zamane me magar dilon me bhare gumon k dukhde bahut hai,
Kosishen phir bhi karta hun thodi si muskurahten kahin se mil paaye,
Raahton k malham se ghaav bhare na bhare magar zamane se chhip jaaye,
Koi mast hai behti fizaon k rukh me koi dard se ab sayad darta nahi,
Har kisi ko yahan sukun ki firaq hai par talassh koi karta nahi,
Har sham ko aalam thoda naazuq hai kuch jor se tum aah na bharna
Dil e nadaan hai gum me zaid phle se tum koi or shikwa na karna
0 notes
rritunjay · 4 years
Text
Aaj
Main aaj ki baat kal karta hun
barbaad hi saare, na ek pal karta hun…
rahta hun khoya yun to goya, hosh sab hai mujhe
adhuri rahi muskaan askon se bharta hun… main aaj ki baat
kai se rang hai, baadal hai, kajal hai, aanchal hai uski mahek bhi hai
magar na jane kyun dil ke aaine me muskurane se darta hun… main aaj ki baat
akeli khali raahon pe koi raah bin mazil mile to chale bhi hai
surkh laal rang me dheeme dheeme har sham dhalte bhi hai
farq hai kya bhala ho pata ki kaid hain kis kisse ke lamhe me hum
lamhe na jaane kitne hain yahan kisi me jeeta hun kisi me marta hun… main aaj ki baat
kuch or bhi h tumhare jaise jo kahte the na kahte hain
ab peeche rahe saayo ko chode aage badhta hun … main aaj ki baat
0 notes
rritunjay · 4 years
Text
Kuch
Kuch tujhe batate hain bahut kuch chupate bhi hai,
Kuch tasveere banate hain bahut saari mitate bhi hai…
Kuch khwaab adhoore hain kuch raat bhi kaali hai,
Alehdagi se bhar jayenge abhi tak jaam jo khali hai….
Thi  paas bhale tu phir bhi tujhse doori sahi to hai,
Jab jab chand ne pucha humne teri baatein kahin to hai…
Ho bhale aazad, majbooriyan iski bhi rahin to hai…
Jahan safar suru hua hum abhi bhi wahin to hai…
Kuch ek baatein darmiyaan hai kuch ek poori bhi hai…
Kuch khwahisen mukkalmal hui kuch ek adhoori bhi hai…
Kuch ek se h abhi bhi vaasta bahuton se magar doori bhi hai..
Kuch to hain azzadi se, bahut kuch magar mazboori bhi hai…
In hawaon ka rukh badalta rahta hai har ek mausam k saath…
Kabhi aayi ye tanhaayiaan lekar kabhi aayi gum k saath…
Vo jo baatein thi hijr k phle ki abhi tak kaayam hai…
Jo haath rakha tha gaal pe tune abhi tak mulayam hai…
0 notes
rritunjay · 4 years
Text
Dafn
Chalte rahen hain itni muddat se in rahon pe, lagta hain ab chale to tham jayenge…
Dafn kar ke chhode khayalon ko is umeed se kai baar nikala, ki sukoon se gum aayenge…
Jahan me kai baar aaya jo na aaya, use paane ki hasrat me gum-e-dil k alawa kya payenge…
Chhanv me hain baithe hain dariya k sirhane, darte hain ese abhi bhi chhanv me jal jayenge…
0 notes
rritunjay · 6 years
Text
mohhabat
jab tujhe dekh ke aankhe meri hanse lage
saanse tham jaye or dhadkan rukne lage..
teri muskuraahat par dil jab machalne lage
waqt jab teri yaadon k sang chalne lage..
khwahishen jab khayalon k aasman me udne lage..
jab har manzil meri teri raahon se judne lage..
jab tu meri ragon me lahu sa bahne lage..
kr k bedkhal mujhe jab mujhme rahne lage.
jab tera chehra mujhe hr badal me nazar aane lage..
jab teri ada ki hame hr roj khabar aane lage..
jab bs tere didar ko hum mehfil me aane lage..
bs ek nazar tujhe samjhane ko nazre milane lage..
tab sochta hun is haseen dard ko seh lu Kya.....
or jo ye chahat hai ise mohabbat kah lu kya..
jab har ibaadat me tera naam aane lage..
lekar teri mahek jab har shaam aane lage.
tujhe dekhe bina jab dil bechain rehne lage
jab teri baaten hum khud hi se kehne lage
jab soch kr tujhne hum khud ko uljhane lage
h nhi sayad hum tere kaabil khud ko samjhane lage
jab dil mera unsuna kr mujhe khud ki krne lage
laakh koshishon k baad bhi tujhpe hi mrne lage
jab meri hr baat tujhpe hoke suru tujhpe khtm hone lage
jab aankhen teri judai k ahsaas bhar se askhon ko khone lage
jab teri aankhon ka paani meri aankhon se bahne lage
meri kalam na chahte hue bhi har harf me tujhe kahne lage
sochta hu tab ban k ahsaas koi tere dil me rah lun kya
or ye jo chahat h ise mohabbat keh lun kya....
Rritunjay.
1 note · View note