Tumgik
bilaltrq · 8 years
Text
Aajao
Kuch kaho toh,Khafa kyun ho? Kuch batao toh,tumhe purane waqto ka wasta Tumhe hasna bhi toh aata tha? Hasane ka tarz bhi aata tha Khuda ra aise na dekho ke Waqif hi nahi Chubhta hai yeh lehja Khuda ke liye aise na karo Munh phair liya Darwaze bandh kar diye Tanha kar diya is tareeki mein is habs mein Koi khirki tak nazar nahi aati ...aajao? Kia tumhe meri awaz aati hai? ...aajao? ......aajao?
3 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Photo
Tumblr media
ناصر کیا کھتا پھرتا یے کچھ نہ سنو تو بھتر ہے دیوانہ ہے دیوانہ کے منہ نا لگو تو بھتر یے
2 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Text
Desi fairy tales
We need to make desi versions of fairy tales. Like Cinderella could be Sundar Eela. Where Eela is a maid in a desi household cleaning floor in that spider stance and taking revenge from her stepmother by leaving the fan turned off even after she has done cleaning.
1 note · View note
bilaltrq · 9 years
Text
Sayyidina Abdullah Shah | Baba Bulleh Shah رضي الله عنه
There was an occasion in Bulleh Shah’s early life before he met his guide, when we witness the Divine Himself becoming the tongue of Love to guide the young seeker. Once Bulleh Shah was occupied in Divine remembrance, rosary in hand, rolling the beads, sitting atop the roof of his house. Suddenly a young milk-maid, aglow with beauty at its height, emerging from the rustic environs was seen approaching the side of his house. Soon Bulleh Shah’s attention was caught by a voice that broke the silence of his contemplation. This was the voice of the milk-maid’s lover who was hiding beside a wall of Bulleh Shah’s house, awaiting the arrival of his fair beloved. The lover asked her how she knew where he was hiding. The young maiden replied, “The presence of the Beloved is felt by the heart. Eyes are mere instruments for beholding the outer form.” The conversation between the two lovers became signs for Bulleh Shah on the map of Divine search. Next, the lover asked the maiden to let him drink some milk. She asked, “How much milk would you like?” To this he retorted, “You profess to be a lover and then you measure how much to give in love!” This sentence threw Bulleh Shah into ecstasy and flinging his rosary aside, he ran out repeating the sentence over and over again.
40 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Text
یہ دُھواں دُھواں جو خیال ہیں اِسی بات کی تو دلیل ہیں کوئی آگ مجھ میں ضرور تھی جسے بے حسی نے بُجھا دیا
8 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Text
میں فیسبک سے نفرت کرتی ہوں
But this sounds like an overacting Pakistani actress expressing her anger to her lover. It could be said in a lot of different ways too
مجھے فیسبک زہر لگتا ہے فیس بُک= چُس بُک Or even میری پھپھو فیسبک سے زیادہ اچھی ہیں
Question for Urdu speakers
my friend wants me to help her neatly write out “I hate facebook” in a bunch of languages so she can post it to facebook, and I really want them all to be correct but i’m struggling with Urdu. Would it be something like: 
“میں اس فیس بک نفرت کرتی ہوں” ? 
10 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Photo
Uff! Kia baat hai!
Tumblr media
Munir Niazi’s ‘Thought-Nymph’
55 notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Text
True.
"Yeh peepal ka darakht kitna bara hogaya hai" "Idhar toh bashir sahab ka ghar tha na? Woh toh kab ke inteqaal kargaye Oho. Baray ache aadmi the"
aur phir 'Adventures of BashirSahab' ka chapter khulta hai
it’s the desi in us that has trouble letting people go. we say goodbye but we follow them to the door, we linger, sometimes end up sitting back down for another cup of chai. we take our goodbyes to the cars, the discussion gets deeper here and there is no sign of leaving, the car isn’t even on. they get in but we don’t stop talking. then when they drive away, we stand on the porch waving at the tiny receding speck. challo phir milenge
6K notes · View notes
bilaltrq · 9 years
Conversation
Urdu writers?
Tamaam urdu ya roman urdu mein nasar aur shayari karne walo se guzarish hai ke ik parhne wala betha hai jo kabhi kabaar kuch likh bhi deta hai. Aaiye. Miliye. Juriye.
0 notes
bilaltrq · 10 years
Text
Waqt
Dekho, Ghor se dekho.
Jhaanko meri aankho mein,
suno meri dil ki sadaein
aayi awaz? nahi aayegi.
sara jahan behra bana betha hai!
Kehte the,'Tumse nahi hoga'
'Kaise karoge?'
'Kaha tha na pehle hi'
'Jab aata nahi hai toh kyun karte ho?'
har choti ghalti pe haso, urao mazaak
le lo maze us shakhs ke jispe
bura waqt aaya hai.
Karlo dilbardashta usse
lekin zara phir dekhna meri aankho mein.
Waqt guzar gaya hai
ab tum log ki bakwas ka koi asar nahi hota mujhe.
Waqt badal gaya hai.
Aur charhte sooraj koi nahi rok sakta.
2 notes · View notes
bilaltrq · 10 years
Photo
Tumblr media
3 notes · View notes
bilaltrq · 10 years
Photo
Tumblr media Tumblr media
Life is not a succession of days and nights, nor is it intoxication and dreamy sleep; Life is to burn in one’s fire: happy is the man who grasps this truth.
448 notes · View notes
bilaltrq · 11 years
Audio
Zia Mohiuddin Farhatullah Baig ka ik nasarpara parhte hoye. Ittela-e-maut se tadfeen tak ka ehwaal.
2 notes · View notes
bilaltrq · 11 years
Text
Gadha.
Aaj jab maine aine mein apna chehra dekha toh mujhe kuch Gadhay ki shakal dhundhli dhundhli si nazar aayi. Maine kayi baar aankhein jhapki lekin woh naqsha gahdhay ka hi raha. Mujhe apna aks dekh ke bari sharmindgi hoyi. Baad mein maine baaqi logo ko apni apni shaklein aine mein dekhte hoye dekha lekin woh bilkul apni hi shakal ka aks dekh rahe the. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke yeh kia ho raha hai mere saath?
Khala ne kaha ke dukaan se zara podeena laa do. Main thehlta howa chala gaya. Ghar pohanch ke Khala ko podeena pakraa ke murra hi tha ke ik aisi zor ki awaz aayi ke do second ke liye mere kaan seeee'n kar gaye. Kuch hosh mein aane ke baad ehsaas howa, ke us awaz mein kaheen lafz 'nalaeq' kaha gaya tha. Shukar ho in aankhon ka, Khala ki taraf dekha toh unke chehre se pata chala ke yeh awaz darasal Khala hi ki thi. Lekin unke chehre ke taasuraat kuch ache nahi maaloom ho rahe the.
"Podeena kaha tha, Podeena!"
"Wohi toh laaya hoon..." Maine thori himmat kar ke awaz nikaali 
"KIA?" ...Lekin pata chala ke awaz kaafi dheeme thi. 
Toh maine thori zyada himmat kar ke ooncha dhoraaya.  
"Yeh podeena hai? Dimaagh ke saath aankhein bhi nakaara hogayi hain kia?"
 Unho ne podeene ki gaddi utha ke kaha," Dhanya kehte hain isse!" 
Homework karne betha. Chemistry ki kitaab kholi. Phir jo main peroxide ko soonghta, H2SO4 se jalta, H2O se dhota jab nikla, toh mera sulphate ban chuka tha. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ke kisko kis mein daaloge toh dawai banegi aur kis mein toh bumb. Kaafi deir socha ke diya howa sawal kaise hal hoga. 
Maine aankhein band ki aur ghor karna shuru kiya. Ik bara sa maidaan nazar aaya. Chaaro taraf gehri dhund. Saamne se ik nukta bohat tezi se bara hota dikhai diya. Us nukte ne baray hote hote ik gadhay ki shakal le li. Woh gadha meri taraf bhaag raha tha. Woh aa ke mere saamne ruk gaya. Aur mujhe dekh ke zor se kehkahe lagane laga. Us gadhay mein mujhe apne jaanne wale kaafi logon ki shabi nazar aa rahi thi. Us ke kehkaho ki goonj barhti gayi yahan tak ke mere kaano mein dard hone laga. 
Maine aakhein kholi toh dunya normal thi. Homework mein jo jidher jurta howa samajh aaya usko udher jor ke kitaab band kar di. 
Agla din aaya. Chemistry ka period. Class mein sab se peeche main khara hoon. Tamaam larke apni bench pe bethe mur ke mujhe dekh rahe hain. Teacher tezi se chalte hoye mere ik dam saamne aa ke kharay hogaye. Maine gardan utha ke ik falak bos emarat ki manind apne teacher ko dekha, toh woh kuch keh rahe the.
Mujhe udher se unke baat karte hoye nathne phoolte sukarte nazar aate. Mooch ka ik ik baal elehda nazar aa raha tha. Aisa lagta tha jaise koi jungli jhaar chipkaya howa ho. Mujhe unke lehje ki wajah se unki baatein zyada samajh toh nahi aati theen lekin tawatar se larko ke hasne ki awaz se pata yeh chal raha tha ke mera mazaak ura rahe hain. Phir ik thook ki boondh meri palak pe aa ke chipki. Maine usse poch ke unki taraf dekha.
"O Miyaan! Yeh dimaagh istemaal kar liya karo. Paray paray phaphoond lag rahi hai." 
Ispe ik aur kehkaha laga aur unki comedy performance khatam hoyi. 
Main phir apne aks ke baaray mein sochne laga.
Aks toh hamein hamara asl dikhata hai na?
Mujhe apni shakal kyun nahi dikh rahi thi?
  Maine ghar jaa ke phir aina dekha toh pehle jo dhundli tasweer thi, ab saaf ho gayi thi. 
Mujhe ab gadhay ki shakal ik dam saaf nazar aa rahi thi. 
Maine gadhay ki aankho mein jhaanka toh mujhe apne wujood ka ehsaas howa. 
  Us lamhe mujhe is sab ka matlab samajh aa gaya.
     - Bilaltrq
Tumblr media
2 notes · View notes
bilaltrq · 11 years
Link
The story explores the little simple life of Maryam through the writer's perspective.
0 notes
bilaltrq · 11 years
Quote
It’s dark because you are trying too hard. Lightly child, lightly. Learn to do everything lightly. Yes, feel lightly even though you’re feeling deeply. Just lightly let things happen and lightly cope with them. I was so preposterously serious in those days…Lightly, lightly – it’s the best advice ever given me…to throw away your baggage and go forward. There are quicksands all about you, sucking at your feet, trying to suck you down into fear and self-pity and despair. That’s why you must walk so lightly. Lightly my darling…
Aldous Huxley, Island (via curiousmuse)
4K notes · View notes
bilaltrq · 11 years
Photo
Tumblr media
0 notes