Tumgik
Text
aaoge tum kabhi, meri jaa keh rahi
gayega ya sama, gayegi ye zameen
badlega ye jahan, gayega asmaan
aaoge tum kabhi, meri jaa keh rahi........
1 note · View note
Text
yeh dard, meri khwahishein, dil ki baatein, kisiko jo batata nahi, maine unhe kagaz pe likhta hu kyuki mujhe aur kuch aata nahi.
badalega toh kuch nahi, main kal jaisa tha main aaj bhi waisa rahunga, bas iss safar mein jo dost kamaye unko dil se shukriya kehna chahunga.
tees dino ke baad ab khudko shayar nahi kahunga wo shayari ki tauheen hai, maine toh bas naya aasmann hai kharida bechke apni zameen hai.
kabhi rulana tha toh kabhi hasana tha, meri do din ki hasti do pal ka mera afsana tha. karni thi do baatein tumse bas yehi tumhe batana tha, shayar toh hum aaj bhi nahi yeh toh bas ek bahana tha.
~aapka apna biswa.roop
2 notes · View notes
Text
bas teri yaad aayi na aaye tere khat jo
hasrat-e-mohabbat pe kiye zulm sahi,
aur hum deewano ki tarah unke liye likhte
gaye jinhe humare wajood tak ka ilm nahi.
~biswa.roop
0 notes
Text
koshish karta hu ke tere aankhon ke aansoon mitake, tere hothon ki muskan ban saku. main koshish karta hu.
koshish karta hu ke aasmann pe jaake tera naam likhu aur chaand taare laake tere haathon par rakhdu. main koshish karta hu.
yeh koshish karta hu ke teri khushi mein tere paas rahu, tere gham me banke saathi main kahu "tu darr mat tere saath hi main hu". main koshish karta hu.
koshish karta hu ke main koshish karta rahu, aur agar manzil tu hai toh haske saari zindagi safar mein bitaa du. main koshish karta hu.
~biswa.roop
0 notes
Text
ab jisse bhi karegi bemisaal karegi,
aakhir mohabbat sikhai kisne hai usko?
~biswa.roop
0 notes
Text
chand baatein, kuch mulaqatein,
thi jinse mohabbat, jo huwe hai ruksat,
yeh haseen khwaab, kuch sawal unke jawaab,
meri neend, yeh saapne, dost jo bane the apne,
mera ghar, mera sheher, mere chadh ki dopeher,
yeh jaan, meri yaadein, mera dard, mera naam,
meri kashti ko duboke, main dariya sa beh gaya,
jo hisse mein tha mere, sab adhoora hi reh gaya.
~biswa.roop
0 notes
Text
koshish toh ki humne bhi kayi dafa,
par jaane wale ko rokna humare bas mein kaha?
~biswa.roop
0 notes
Text
tumhari raah taanke aaj bhi intezaar karte hai,
hum wo ashiq hai jo nafrat bhi pyaar se karte hai.
~biswa.roop
0 notes
Text
jo humdard dhundne nikle the,
hum dard leke laute hai.
~biswa.roop
0 notes
Text
sapne so rahe hai,
aur hum jaag rahe hai.
tabahi ke raah pe chal rahe hai,
hum sacchai se bhaag rahe hai.
~biswa.roop
0 notes
Text
yun toh karne ko kaam bahut hai par main roz tere chittiyon ka intezaar karta hu.
tu mujhe khat likhna, unme apni yaadein bhejna, jo main khaali palo ko teri yaadon se bharta hu, main roz tere chittiyon ka intezaar karta hu.
na pata tune mere khat padhe bhi honge ya hai wo lapata, main unme teri salamati ki dua karta hu, main roz tere chittiyon ka intezaar karta hu.
bas intezaar hai ab baaki mujhme, kahi mar na jaye jo cheen lo yeh humse iss baat se darta hu, main roz tere chittiyon ka hi intezaar karta hu.
~biswa.roop
4 notes · View notes
Text
zindagi ne jab bhi diye bas gham diye,
jo diye khushiyan toh wo bhi kam diye.
humpe aye khuda tune kyu itne sitam kiye?
ke arsa huwa unki maujoodgi ka ehsaas huwe,
aur jeena pada bas unki yaadon ka sahara liye.
~biswa.roop
0 notes
Text
tu marz hai dawa bhi, par aadat hai hume.
khudgarz hai samaa bhi, jo banaye faasle.
kuch lafz hai zubaan pe, baatein kuch ankahi.
ishq hai fir kyu soche, kya galat kya sahi?
yeh farz hai mera bhi, kehdu main yeh tumhe.
roka hai khudko lekin, hum reh na sake.
-biswa.roop
0 notes
Text
hazaaro logo ke bheed mein sirf jo sirf usse dhundta hu, kuch toh aisi baat hai usmein. bin kahe jo lakhon baatein bayaan kare, kuch toh aise raaz hai uski aankhon mein. marham bhi hai jo saw dard bhi de, kuch toh aisa sukoon hai uski baahon mein. khudko khoya huwa sa paata hu aksar, kyuki aati hai wo khwaabon mein. ab aap mujhe puch rahe ho thikana jiska, uska toh ghar hai bas meri yaadon mein.
~biswa.roop
0 notes
Text
sunane wale bahut hai sunne wale kam,
samjhane wale bahut hai samajhne wale kam.
bhatakte sirf uss insaan ke talash mein hain hum,
jiske saath shayad baithe aur baat sake yeh gham.
0 notes
Text
aaj tumhe alvida kehne ke baad raaste meh ek purane dost se yun hi mulaqat ho gayi. ab yeh baat toh maan ni padegi ke wafadar tumse zyada hai wo, ek baar milta hai toh jaane ka naam hi nahi leta. din bhaar shaant baitha rehta hai bas raat ko sone nahi deta. wo zyada baatein nahi karta fir bhi main usse sab batata hu. waise toh naam bahut hai uske par main usse pyaar se dard bulata hu.
-biswa.roop
0 notes
Text
itna mohabbat karte hai tumse,
ke muraad teen ho toh teeno mein maang lu tumhe.
0 notes