Tumgik
#kitni smart hu na main
mayakimayahai · 5 months
Text
Mera kal English ka exam hai aur maine aaj psychology padhni shuru ki hai<33
28 notes · View notes
viralvideofunda · 6 years
Link
Ab tak aapne padha.......
Dekhna tha kaun kamjor padtaa hai…wo khoon ka rishta ya ye muhabbat ka rishta…
Ab aage.......
Runa aur Kajal jumman ke saath uske ghar pahuch chuki thi...dophar ka khana khakar Runa ke saath kajal leti thi ...jumman kuchh kaam hai bolkar kahi bahar gya hua tha.
"Runa baji, bataiye na aap kaise jaanti hain Alok ke papa ko.....? kajal ne chhat ko ektak dekhte huye puchha.
"Koi aisa rishta nhi hai kohinoor jise naam de saku.........bas ye samjh lo ki ek majboor ladki apna sahara dhundhane nikli thi,aur dhokha kha gayi........." Runa ne kuchh sochahte huye kaha.
"mai samjhi nhi....." kohinoor boli.
" Meri dastaan bhi har tawaif ke jaise hi majboori ki dastaan hai....jis din kothe par ye "Rani" Runa ban gayi us raat meri ijjat ka pahla saudagar Sadanand hi tha...jaanti ho, bade sapne dikhaye the isne mujhe...."Runa apne bare me batatai gayi.....
"Mai dilli se hu.......apne pyaar ke saath mumbai bhaag aayi thi..ghar walo ke khilaaf jakar apna sab kuhh use saup diya.....lekin ..." Runa ki aankhe bhar aayi....Maanjhee ki dardanaak yaaden uske seene me shool bankar chubh rhi thi..........Kajal uthkar baith gayi, uske kandhe par hath rakh diya.
"Wo bewafa nikla kohinoor...!.dar dar ki thokre khati rahi mai uske saath, har dard har takleef sahne ko taiyaar thi......lekin wo kamjor nikla....uska dil mujhse bhar gya, aur us dil ki muhabbat mar gayi......mere saath jeene marne ki kasme khane wala, marte dam tak saath nibhane ke waade karne wala, char kadam bhi mere saath na chal paya......soyi to mai uski baho me thi, lekin jab need khuli to khud ko ek kothe par paya...us jagah par jaha payal ki jhankar aur table ki taan ke bich ek majboor aurat ki dardnaak cheekh ghut ghut kar dam tod deti hai......haan Kohinoor , mere Deepak ne mujhe bech diya tha...meri pahli muhabbat ne..mer apne Deepak ne." purana jakhm aaj fir se ubhar aaya tha.....Runa ke aansuo me sailaab aa gya tha....par wo ruki nhi, bolti rahi....
" Mai bilkul toot gayi thi...jispar aankh moond kar aitbaar kiya tha usi ne khoon ka diya tha mere aitbaar ka...jeene ki koi vajah nhi thi, lekin mar bhi na saki........shayad kuchh karna baki tha is duniyaa me........ghar walo ne pahle hi mara maan liya tha, koi nhi tha jise meri haalat se matlab tha.....pairo me ghunghre bandhe to fir sirf ek Pahchan rah gayiiii - sirf ek Tawaif .."
"kuchh din tak apna daaman bachati rahi..lekin kab tak..Sadanand ne bade vaade kiye mujhse...mujhe us jahnnum se nikaalne ka vada, ek nayi zindagi ka vaada,har vaade par ek aur vadaa.........kasmo vaado par aitbaar to khair bahut pahle hi chhod diya tha maine...bas apni barbadi ka tamasha dekhti rahi.....kuchh din baad mujhe us kothe walo ne bech diya....Sadanand to kabhi nhi ayaa fir, lekin yha mai tumhari Maa se mili..Mohini se" Runa ne kajal ki or dekha...dono ki aankho me aansu the.
"Mohini ki aankhe badi sundar thi kajal...lekin un aankho me hmesa intkaam nazar aata tha........Mohini hum sabse alag thi...humse jyada bahadur thi.....aur isi liye shayad apna makasad paa saki....Ek din mohini aayi to bahut khus tha...aate hi mjuhe gale lagaa kar boli..---
"Aaj jeene ka maksad poora ho gya Runa behan.......ab jaan jab chahe chali jaaye ko malaal nhi rahega........Bas ek maa hone ka farz na nibha payi yehi dard hmesa dasegaa.........apni beti ki gunahgaar hu mai....."
kajal ki aankhe fir se bhar aayi...aaj use lag rha tha ki kash uski maa use ye sab pahle bata deti to wo apni maa ko kabhi akela na chhodati.lekin wo ye bhi samajh rhi thi ki uski maa ne aisa kyu nhi kiya...lekin wah ree kismat...........usi raah par kajal ko le chali jahaa se bachaane ke liye uski maa sara dard akele hi pee gayi thi.
kuchh door khada jumman bilkul khamoshi se unki baat sun rha tha..........dheere dheere chalta hua unke paas aya aur thodi door padi charpayi khichkar baith gya.........
Runa ek pal ko thithki , uski or dekha aur fir bolna suru kiya......
"Kajal, usi raat Mohini me mujhe apne baare me sab bataya tha..Sadanand aur tumhare papa ke bare me bhi..........lekin agli subah mai jagi to mohini wha nhi thi........shayad tumse milne kolkata gayi thi...aur uske dusre hi din fir se mera sauda hu......mai fir se bechi aur khareedi gayi......mai yha aa gyi...." Runa ne apne aansu ponchhe............kajal ek tak uski or dekhti rahi......aur jumman bhi.
Jumman ka chehra bhi gambhir ho gya tha...wo raaten jinhe wo "Rngeen aur haseen " samjhta tha kisi ke liye kitni dardanak hoti thi aaj use ahsaas ho rha tha. Uske liye to jism bechna bhi ek pesha tha, jiske badle ek Twaif paise leti thi.........lekin til til kar kaise ek rooh jakhmi hoti thi ye aaj use samjh aa rha tha.
Whi kajal fir se aaj usi soch me doob gayi thi......kaisa hai ye samaaj jo ek jeeti jagti, vidhata ki sabse sundar kriti ko ek "vastu" samjhta hai...ek chij samjhta hai...jise kharidata aur benchataa hai.......uske saath raate to rangeen karta hai lekin us raat ke baad hone wale ujaale me use Tawaif naam ki gaali deta hai...........kaisa hai ye samaaj , kyu aisa hai ye samaaj???.
Teeno hi chup the, jaise kuchh bacha hi na thi kahne sunne ko.........teeno hi apni apni socho ke bhawar me doobe huye the.........Bahar gadi ke tayro ke teji se charcharaane ki aawaz par ek saath teeno chaunk pade........jumman ne bhagkar darwaza band kiya aur aankhe khidki se lagaa di.
Ab tak aapne padha......
Jumman ne bhagkar darwaza band kiya aur aankhe khidki se lagaa di.
Ab aage.... 
khidki se aankh lagaye juman gadi ko rukte aur fir usme se nikalte shakhs ko dekhta hai, uske thik pichhe khadi Runa us shakhs ko dekhkar apni khusi chhupa nhi pati.
"Alok babu aa gye Jumman , darwaza kholo "
Alok ki car jumman ke ghar se thodi door par khadi thi aur car se nikalakar Alok bechaini se idhar udhar dekh rha tha, uski aankho me milan ki tadap saaf jhalak rhi thi.
Jumman palat kar Runa ki or dekhta hai , dono ke aankho me chamak thi ,lekin Runa ki baat sun kajal ke chehre ka rang ud chuka tha.......
"Ye kya kar rhe ho aap log.....Runa baji aap to sab jaanti ho na...kya fayada hoga meri itne dino ki kurbani ka ??....kya hoga us....."
" Har baar kurbani tu hi kyu degi meri bachchi, tune to apni zindagi barbaad kar di us muhabbat ka bharam rakhne ke liye jiske hone ka poora yakeen bhi tujhe nhi....bata kya mai galat kah rhi hu.......??" Runa ek pal ko ruki, Kajal bilkul chup ho gayi ,
"Kohinoor ! ab tak to itna yakeen nhi tha, lekin aaj mai kah sakti hu ki teri muhabbat ki tadap bevajah nhi hai.......dekh uski aankho ki deewanagi,baawara lag rha hai.... paglo ki tarah bhaga chala aaya hai tere liye....ab waqt aa gya hai ki ek mauka use bhi diya jaaye........tune to saare faisle khud kar liye....tab bhi aur aaj bhi karna chah rhi hai......kya kasoor hai uska ??...bata ?......aisa na kar meri bachchi...ek mauka use bhi de apni muhabbat sabit karne ka...ek baar aazma le apni muhabbat ko........" 
Runa Kajal ko samjha rhi thi lekin kajal uski or aise dekhti hai jaise Runa ne koi bachchkani bat kah di ho........halki si hasi aa jati hai kajal ke hotho pe.... 
"Runa baji ! aapko kya lagta hai ki mujhe Alok ki muhabbat par yakeen nhi tha ??...nhi baji ! aap galat samjhi....ek ladki ki aankhe kabhi ye dhokha nhi kha sakti ...Alok to lakho me ek hain....wo mujhse bahut pyaar krte hain...tab bhi karte the aur aaj bhi, lekin apni sachchai jaankar maine khud ko unke layak hi nhi samjha aur uske baad jo kuchh kiya maine......." kajal ki baat adhoori rah gayi...... unki is bahas ke bich jaane kab jumman bahar nikal chuka tha....Darwaza ek jahtke me khula aur Kajal ke saamne Alok khada tha.......ufffffff!!!! kitni bebasi thi un aankho me.......!!
Kajal bhi ek tak Alok ko dekhe jaa rhi thi ...bikhre baal, badhi huyi shave....laal sooji huyi aankhe aur maile se kapde....kajal ki aankhe dabdabaa gayi ...kya haal bana liya tha apna Alok ne...kaha wo college wala chahkata smart sa Alok aur kaha ye muhabbat ki deewanagi me pagal sa Alok...bahut kuchh badal gya tha lekin Dil to aaj bhi whi tha.......Kajal ka dil ro utha Alok ki dasha dekhar.......badi mushkil se khud par kaboo kiya hua tha usne.
Dono ek dusre ko dekh rhe the aur Runa unhe...jumman bahar hi rah gaya tha...Runa ne aage badhkar Alok ke kandhe par haath rakha aur bahar nikal gayi.
Alok chand pal kajal ko dekhta raha aur fir apne ghutno ke bal girkar tadap tadap kar rone laga..... ab bardasht kar pana Kajal ke bas me na tha..daudakr Alok ko apne seene se laga liya........
"Mat roiye Alok... please mat roiye.......mai hu aapke paas .....please mat ro...."
Alok ne apna sar upar uthaya.........
"kaha ho tum mere paas ??...tum to mujhse bahut door nikal gayi Kajal.........bina kuchh kahe , bina kuchh bataye..koi shikwa hi kar leti...kuchh saja deti koi khata huyi thi to...lekin aisa kyu kiya.........batao.......mujh par yakeen nhi tha ya meri muhabbat par yakeen nhi tha ??? bolo ??kyu chali gayi bina kuchh kahe......" Alok aaj barso se dil me dabe saare sawal kar rha tha kajal se. karta bhi kyu na, haq tha use..
Aur Kajal !!... kadam kadam par majboor, aaj ek baar fir se majboor ..hoth sil gaye the mano.
"bolo kajal, kuchh to kaho......kyu kiya aisa tumne....ek baar mujhe kahkar to dekhti..sari duniyaa se takraa jata tumhara Alok.....tum mili bhi to is roop me, kyu hua ye sab.....kaise ban gayi meri kajal kohnoor ??.....bolo please.......bahut dino se ye sawal mujhe andar hi andar khaye ja rha hai ki mera kasoor kya tha , aaj mujhe jawab chahiye kajal...bolo...please chup mat raho...tumhari ye khamoshi meri jaan le legi....??” Alok aaj sab kuchh janna chah rha tha...Lekin kajal abhi bhi kuchh kah nhi rhi thi.
Kajal ki aankh se aansu nikle aur uske hotho se sabd...
“Alok ,meri mamaa ..ek.....ek.... Tawaif thi meri maa.....!” Kajal ne badi mushkil se ye alfaaz adaa kiye, aur sar jhuka liya..kajal ko shayad lag rha tha ki usne Alok ke sawalo ka jawab de diya...lekin uska ye bharam sirf kuchh pal hi raha....
“ To ???????........Kajal , Tawaif koi aurat apni khusi se nhi bani hogi.....”
Alok kajal ki aankho me dekh rha tha, aur wo khubsoorat aankhe sawan ki badli ke jaise barse hi jaa rhi thi.....Alok se bardasht nhi ho rhe the un aankho ke aansu......
“jaane do kajal !!!, agar tum nhi batana chahti to mai wo wajah bhi nhi puchhnga ...tumhari mom kya thi, tum kya ban gayi....kuchh mat batao mujhe...bas ab mere paas chali aao..........aur bardasht nhi kar paunga mai.”Alok ki baat sun Kajal ka dil fir se tadap utha.....kya tha wo , insaan ya koi farishta ?...Kajal use beyakini se dekhni lagi.......itni badi baat kitni aasani se kah gaya tha Alok........kuchh pal beyakini me beete, fir un nigaho me maan tha...apni muhabbat ke liye maan .
“Haan kajal, bahut tadapa hu mai is jawab ke liye ki mera kasoor kya tha , kyu gayi tum mujhe chhodakar...lekin aaj aisa lag rha hai ki vajah aisi hai shayad jise kahne me tumhe takleef hogi...aur ye mujhe bardasht nhi.....to nhi jan’na mujhe kuchh bhi........koi vasta nhi mujhe tumhari maajhi se........bas ab mai tumhe jaane nhi dunga. ......Kabhi kah nhi paya , shayad mauka hi nhi mila..aaj kahta hu.....I love You kajal, I love you very much........jaan se jayda chahta hu mai tumhe...deewangi ki had tak, pagalpan ki inteha tak....bas ab meri ho jao.....chalo yha se ..kahi door chal kar ek pyaar ka aashiyaana basa le...chalo mere saath...”Alok ne aaj dil cheerkar rakh diya tha, Kajal ki aankhe baras rhi thi.
Kya chahti hai ek ladki?? Yhi ki koi use itna chahe jitna aajtak kisi ne kisi ko na chaha ho...koi ho jo sirf uska ho, uske liye ho....Kajal ne bhi yhi chaha tha...uske aankho me bhi barso yhi khwab palaa tha...lekin aaj jab wo khwab haqiqat ban kar uske saamne aa gya tha, to kajal aage badhkar us haqiqat ko mahsoos nhi kar paa rhi thi....kaisa ajeeb ittefaq tha, jo kabhi uska tasswur hota tha aaj wo haqiqat tha, lekin wo haqiqat hokar bhi ek khwab tha.
Kajal ke dil me tees uth rhi thi.......dil ki bagiyaa muhabbat se mahak gayi thi...uske dar par aaj muhabbat ke samundar hilore le rha tha ,..lekin wah ree kismat !!, Kajal ko tanhayi ka andhera hi raas aa rha tha....chah kar bhi wo kuchh kah nhi paa rhi thi...na Alok ko muhabbat ka bharosa de sakti thi, na muhabbat hone se inkaar kar paa rhi thi..karti bhi kaise, nazro ne to pahle hi gustakhi kar di thi...ekraar to najro ne kar hi liya tha, lafzo ki jarurat kaha thi ?
Alok uthkar khada ho gya, Kajal but bani rahi...kya kare use kuchh samajh nhi aa rha tha.Alok mano uske jawab ka intzaar kar rha tha aur har beet’te pal ke saath uske dil ki bechaini badhti jaa rhi thi..ab jab har haal me usne Kajal ko apnaa liya tha to Kajal ko uski muhabat par aitbaar kyu nhi aa rha tha, ab kyu paresaan thi kajal, Alok samajh nhi paa rha tha.
“hum aapke saath nhi aa sakte Alok..hum aapke layak nhi hain.....”Kajal ne badi mushkil se patthar ka kaleja karke bas itna hi kaha aur Alok ke hatho se apna hath chhuda liya..
“ye failsla karne ka haq sirf mujhe hai...tumhe koi haq nhi ye kahne ka ...samjhi..chalo mere saath ..”Alok ne fir se uska haath pakad liya.
“chhodiye !!...please Alok...hum ...hum nhi aa sakte aapke saath........”
“nhi aa sakti??...kyu???kyu hi aa sakti?...kyu kar rhi ho aisa...kuchh batati bhi nhi,kuchh manti bhi nhi..kya karu mai batao....kyu kasoor hai mera kajal........”Alok bahut bebas ho gya tha aur us se bhi kahi jyadaa bebas khud ko kajal mahsoos kar rhi thi. 
Dono hi chup the,dono hi majboor the....darwaze par halki si dastak ke saath Runa chali aayi........
“Kajal, jaa Alok babu ke saath...chali jaa beta...kismat fir kabhi aisa mauka nhi degi....nikal jaa is daladal se...Sadaa babu kab pahuch jaaye kuchh nhi pata..aur ek baar wo aa gye to...........”Runa ne shayad unki baate sun li thi, aur kajal ko samjhane ki poori kosis kar rhi thi...whi Alok apne baap ka naam sunkar chaunk gaya.
“papa,yha aa rhe hain ?...nhi nhi...unki koi rally hai aaj to....wo yha kaise...”
“Alok babu ! aap kuchh nhi jaante apne papa ke baare me...lekin uske liye shayad fir kabhi mauka mil jaaye...abhi aap please jaiye yha se.........waqt jayaada nhi hai..”Jumman ne andar aate huye kaha.
“aap logo ka ahsaan rahega......bahut bahut shukriyaa.....is ahsaan ka bada mai jaan dekar bhi nhi chuka paunga.......aaiye chale....chalo kajal......”Alok ki baat khatm bhi nhi huyi thi ki ek baar fir se gadi ke tyro ki charrahat se fiza gunj uthi.
Ek tawaif ki badkismati itni aasani se uska pichha nhi chhodane wali thi.Jumman ke chehre par pareshani ke bhaaw the, Runa ke chehre par darr ke ,Alok ke chehre par gusse ke aur Kajal ke chehre par dard ke.....shayad abhi aur tamasha ban’na tha uska.
Read Our Completed Stories Just Click Here
Familly Love Without Rules Cmpleted
Pariwar Me Chudai K Sukh Se Bada Koi Sukh Nahi (Completed
Baap Beti 
Behan Ki Chudai
 Bhabhi Ki Chudai
 Desi Chudai
 Gay Chudai
 Group Sex
 Hindi Chudai Kahani
 Lesbian Sex
 Maa Beta
 Meri Chudai
 Naukar-Naukrani
 Office Sex
 Other Languages
 Parivar Me Chudai
 Pehli Chudai
 Tamil Kamakathaikal
 Teacher Student Chudai Top Collection
Hello Girls And Aunties
 Name Farhan Rajpoot
Send Me Your Stories On
Whatsapp Number: +923200491056
1 note · View note