Tumgik
#paigamer
mashriqiyyah · 9 months
Text
Pichhle saal yunhi September ki ek baarish me mujhay wo baat yaad aayi, jo pehle kabhi seekhi thi...Kay Insan ka dil Allah ki do Ungliyon me hai, wo jab chahay, usay palat Saktay Hain...jaise...wo waqt, jab mujhay baarish pasand aanay lagi. Bachpan se maine Baarish par muh banaya tha. Shayad school baarishwale dinon me start hua karta tha isliye, aur phir ground ke kichad me meray polished jootay aur safayd Uniform, dhuli dhulai cycle ke tyres, sab kichad-aalood hojate thay. Bag bheeg jata lekin waterproof tha to khayr thi, kitabon me lekin nami reh jati. Meri kitabein, jinko mai apni jaan se zyada sambhala karti thi. Mai nafasat pasand rahi hun aksar. Bachpan se. Phir college ke dinon tak, Baarish ka ye kichad aur uljhan mujhay bahot bezaar karte rahay hain. Aangan me gilay, gale hue patton ka phailna, har shay geeli aur numm. Gharme raho to neend aajati, khelne baahar koi jaane nh deta aur phir thandi baarish se beemar honay ka ehsas. Bezari si bezaari. Phir ek waqt wo aaya, jab apne shehar se door ek aisi jagah rehna pada, jahan door door tak aasmaan, Pahaad aur sookha maidan nazar aata. Apne mehfooz ghar, kichad walay school se door, anjan logon ke beech tanha hue jab maine wahan baarish hotay aur pani ki chhoti chhoti nehar banke ek taalaab me jaa miltay dekha.. Uss lamhe mein, mai pehli baar bezaar nahi hui. Pehli dafa kichad se uljhan nh hui, na hi ye fikr rahi ke saaf kapde maile hojayengay ya kitabein bheeg jayengi. Pehle ek haath aur phir saari ki saari mai, uss baarish me khari hogayi. Uss waqt nafasat ko nahi bhuli thi, bas ye eham nahi raha tha ke jootay, kapde aur cycle inki safai kabhi mustaqil hogi... Inn cheezon ko saaf rakhte rakhte shayad mai ek waqe'atan khubsoorat ehsas se door rahi thi. Meray dil me ye itminan aaya ke ye Allah ki rehmat hai, jisme mai bheeg rahi hun, mehaz pani nahi. Iss waqt mere Rabb ki tarafse sabse bada waseelah hai jissay mai Usko apne qareeb mehsoos kar rhi hun. Gharke, gharwalon ke tahaffuz se door, uss bijliyon aur garajti baarish me Allah ne mera dil badal diya tha. Yun jaise Do Ungliyon me bas chutki si bajayee ho. Uske baad se aaj tak, Baarish ne mujhay kabhi bezaar nahi kiya. Na hi kichad aalood juton ne, na hi meray maile hue safayd libas ne na hi bag me kai tahon me chhupi meri numm kitabon ne. Aaj jab mai aasman se barasti boondon ko dekhte iss bareme sochti hun, to samajh aata hai ..ke Uss din ki baarish ke zariye sirf baarish ke liye muhabbat hi nahi mili thi mujhay... balke ek mazeed ilham bhi mujhpar hua tha... Ek aur baat thi, jo wo baarish mere liye Allah ki tarafse paigam ki surat lekr aayi thi. Ye, ke koi jazbaa, koi insan, koi shay, koi haalaat itne mustaqil nahi hotay ke aapka ussay dil na uthhay. Har wo shay jisko aap chhorna chahte hain, lekin dil ke haathon majboor hain, aap Allah se kehden. Wo aapka dil badal Dengay. Ek aisi baarish, jahan saari umr ki bezari khatm hojati hai. Allah se wo baarish maangein.
©️ Zeenat Nazeer 🕊️
18 notes · View notes
jashnpanjeta · 2 months
Text
Tumblr media
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam
#कादर_अल्लाह_कबीर
Baakhabar Sant Rampal Ji
https://www.youtube.com/playlist?list=PL6qgy0Dc_PclKzdPX5SwBkfv1XOt-a-lY
2 notes · View notes
finexbright · 5 months
Text
when kishore kumar sang "main saans leta hu, teri khushboo aati hai, ek mehka mehka sa paigam lati hai, meri dil ki dhadhkan bhi tere geet gaati hai" and when one direction sang "lost my senses, i'm defenceless, her perfume's holding me ransom, sweet and sour, heart devoured, lying here i count the hours" was where love started and ended btw
1 note · View note
indrabalakhanna · 11 months
Text
Watch "Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al-Adha 2019 | Sant Rampal Ji Maharaj" on YouTube
youtube
#GodMorningThursday
True Guru Sant Rampal Ji
#ThursdayMotivation
#MessageOfAllahOnMohrarram
Baakhabar SantRampal Ji Maharaj
#AllahIsKabir
@AlKabirIslamic
#KabirIsGod
#SantRampalJiMaharaj
#SpiritualMessageOnShivratri Gyan Ganga
@SatlokAshram
@SANewsChannel
@SantRampalJiM.
@MuktiBhodh
हमारे सभी धर्मो के वेद शास्त्र पुराण पवित्र धार्मिक ग्रंथो में सत्य तत्व ज्ञान से भरा अनमोल खजाना मिलता है_ पूर्ण परमेश्वर कबीर जी हैं🙏 कबीर वाणी__ अमर करूं सतलोक पठाऊँ , ताते बंदी छोड़ कहांऊँ🥀 कलयुग मध्य सतयुग लाऊँ, ताते बंदी छोड़ कहाउं 🙏
साधु तारे पिण्ड को, सिद्ध तारे अंण्ड 🥀 सतगुरु सो ही जानियो तार देवे ब्रह्मांड🙏 अल्लाह ने मुसलमान धर्म की किसी भी आसमानी किताब में जीव हिंसा और मांस खाने का आदेश नहीं दिया है हजरत मोहम्मद जी ने भी बिस्मिल की बात नहीं कही, हजरत जी ने और के उनके अनुयायियों के पूर्वज तक ने भी कभी मांस नहीं खाया, गाय का विशेष सम्मान भी किया, हम स्वयं को या किसी को भी कष्ट पहुंचा कर अल्लाह को कभी भी खुश नहीं कर सकते हैं ना पा सकते हैं अल्लाह को पाने के लिए बाखबर तत्वदर्शी संत रामपाल जी महाराज की शरण में आए🙏l l
3 notes · View notes
Text
Naino main paigam jis tarah
Masjid main azaan jis tarah
Subah hone tak jal rahe
Palkon main armaan jis tarah!
Sang rahiyo!
4 notes · View notes
jagbirdaas · 2 months
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
9936665841 · 2 months
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
cbmehar · 2 months
Text
Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al Adha 2023
youtube
0 notes
musingsofanam · 4 months
Text
Na kar mere chehre se mere dard ka hisab
Haqeeqat ya fareb ye koi paigam nahi deta
Tu waqif hai bazaar ke dastoor se lekin
Ye karobar tujhe Zeb nahi deta.
-Anam Tanveer A
0 notes
gay-ass-hell · 8 months
Text
shaam dhalti Jaa Rahi hai,
ye saans bhi madham hoye Jaa Rahi hai,
jo waqt tera or mera tha aaj meri maut ke paigam liye AA Rahi hai.
1 note · View note
whatifeels · 10 months
Text
Apne chehre pe hasi kahan se lau
Tujhe pane ki khushi kahan se lau
Ehsaas tumhara mujhe aaj bhi hai
Par iss zindagi me tumhe kaha se lau
Tere na hone k khayal se hi ruh kampti hai meri
Bata ki Iss ruh ka sukun kahan se lau
Tu akhon k samne hai par fir bhi meri nhi
Tume hasil karne ka junoon kahan se lau
Wo karte hai bate sabse par mujhse nhi
Unki baton me apna jikr kahan se lau
Uski ankhen dekhti hai hame ate jate
Unki ankhon me apni tasveer kahan se lau
Mujhe yakin hai ki wo bhi chahte hai mujhe
Par unhe puchne ki himmat kahan se lau
Mene bheja tha paigam unko kabhi
Par unke hotin par haan kahan se lau
Aa jao meri zindagi me meri kismat bankar
Par me aisi khush kismati kahan se lau
Intzaar mujhe tumhara aaj bhi hai
Par tumhe pane ka sabra kahan se lau
Har ladke ka pyar sirf jismani nhi hota
Meri Iss ruh ka sathi me kahan se lau
Meri ruh ko milne do tumhari ruh se
Tum Jo ha keh do to tumhe apna banau
0 notes
imammehdicoming · 11 months
Text
#Aurtoon Ke Liye Aap #Sayyadi YounusAlGohar Ka Paigam
Full Video:-https://youtu.be/hDYRYVXyXyA
#YounusAlGohar #GoharShahi #ImamMehdiGoharShahi #ifollowGoharShah #love #sufism #spirituality #quran #sufi #islam #god #divinelove #heart #religion #faith #women #murshid #Father#allah #mather #india
#WATCH #ALRATV Live at 3:00 AM IST.
0 notes
shanalitv · 11 months
Video
Shandana Gulzar Khan Ka Hangami Video Paigam | Shan Ali TV
0 notes
rakhidasisblog · 1 year
Text
Watch "Bakra Eid Par Allah Ka Paigam | Bakra Eid | Eid al-Adha 2019 | Sant Rampal Ji Maharaj" on YouTube
youtube
1 note · View note
aijaz3130 · 1 year
Text
Watch "Allah ka Paigam Insaniyat ke Naam... || Surah Az Zumar Ayat 56-60" on YouTube
youtube
0 notes
thepoeticbubble · 1 year
Text
mukhalifat ke mazeed paigam sune Mai kisi ko apni safai pesh kru Mughe wqt se iski ijazat nahi subah ka dlana aur sham ana mukarar hai Ek hi libas mai , phr b zer zabar ki mohataj nahi Safar taweel hai Akele Zindagi katna munasib nahi Door draz alake mai mutain the Yun to humne sare jaha ki madat ki Ye bata Konsa shakhs hai jo ahsan faramosh nahi Kasrat se yad ki humne khuda museebat mai Khushi mai qibla kaha kisi ko khabar nahi Zara si Chuban hai tabish Umar bhar ke alafaz the , pata chala kisi ko unki samaj nahi
-tabish.j
0 notes