Tumgik
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Hasrat Mohani
[Hasrat Mohani, during the proceedings of constituent assembly criticizing the draft constitution, the assembly, and the assembly’s chairman Dr Ambedkar, on 4th March, 1948. It is to be noted that he refused to sign the draft constituion]
.. If the previous form of Government were to continue then there was no need of a Constituent Assembly. Look at our new constitution drafted by Dr. Ambedkar. There is nothing new in it. He has mostly copied out either the Government of India Act of 1935 or, as admitted by himself, has drawn from the constitutions of other countries. .. This is what has been produced by our friend Dr. Ambedkar! My biggest complaint on this account is that if for the purpose of drafting a constitution he had to copy out the constitutions of other countries, then why did he not embody the latest and the best constitution? How was it that he looked up to the constitutions of Australia, Canada, America, and England, but the constitution of the Soviet Union did not catch his eye?
.. No member of the Muslim League had taken any part. The result has been that the constitution that has been framed has been forged by one party alone. How can you enforce it on others? I mean to say that no reliance can be placed by us as the Constitution has been framed by one party alone.
.. If that is the case, if we give extraordinary powers to the President, I would be justified in asking the question, where is the use of holding this farce of a Constituent Assembly if it is to be a one-party business, I mean the business of the Congress Party, or a one man’s show.
[Hasrat is consistent in his rejection of the draft constitution and the constituent assembly throughout the proceedings. Besides this soviet issue, his main problem was with the monopoly of Congress in the assembly, and lack of independent Muslim represenation. ]
0 notes
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Hasrat Mohani
hurriyet e kamil ki qasam kha ke uthe hain, ab saaya e british ki taraf jayenge kya hum gandhi ki tarah baith ke kyun baatein karenge lenin ki tarah denge na dunya ko hila hum [hurriyet e kamil = complete freedom] [ -- hasrat mohani]
1 note · View note
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Jaun Elia
woh bhi hain jo qadr e zaroorat na pa sake humne ba-qadr e shauq na paya toh kya hua?
aise bhi hain ke raas na aayee jinhein hayaat, humko shabaab raas na aaya toh kya hua? -- jaun elia
0 notes
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Rumi in Urdu
Maulana Rumi ki ek ghazal ke chand ash'aar: na man behooda gird e koocha o bazaar mi gardam, mazaaq e aashiqi daaram, pa e deedar mi gardam. [main behooda koocha o bazaar mein nahi ghoom rha hoon, aashiqi ka mizaaj rakhta hoon, deedar ke liye ghoom rha hoon]
khudaa-ya raham kun bar man, parishaaN-waar mi gardam, khata-kaaram, gunah-gaaram, ba-haal e zaar mi gardam. [ae khuda, mujh pe raham kar, pareshan-haal ghoom rha hoon, khatakaar hoon, gunahgaar hoon; bure haal mein ghoom rha hoon]
sharaab e shauq mi nosham, wa gird e yaar mi gardam, sukhan mastana mi goyam, wa-le hushyaar mi gardam [shauq ki sharaab pee rha hoon, aur yaar ke gird ghoom rha hoon, mastaani baatein kar rha hoon, magar hushyaar ghoom rha hoon]
biyaa jaanaN, inaayat kun, tu maulana e rumi ra, ghulaam e shams tabrezam, qalandar-waar mi gardam [ae jaan, aa, tu maulana rumi par raham kar, shams tabrezi ka ghulam hoon, qalandar ki tarah ghoom rha hoon]
[Ye ek ghaur karne wali baat hai ke 13ween sadi mein Anatolia mein likhi gayee is ghazal ke aksar alfaaz 21ween sadi ki aam bolchaal ki Urdu-Hindi mein istemal hote hain. Mahaz alfaz e fe'l (verbs) ka tarjuma kaafi hai] [tarjume mein koi naqaabil e qubool ghalati huyee ho toh bara e meharbani ittala karein]
[https://www.youtube.com/watch?v=xiretALpP5M] [A beautiful rendition by Nusrat Fateh Ali Khan and party, along with eng subtitles]
10 notes · View notes
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Jigar Moradabadi
Hairat e ishq nahi, shauq junoon-posh nahi, Be-hijaabaana chale aao, mujhe hosh nahi
keh gayee kaan mein aake tere daaman ki hawa, saahib e hosh wohi hai ke jise hosh nahi
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ik jaam, aaj tak hosh nahi, hosh nahi, hosh nahi!
mehv e tasbeeh toh sab hain magar idraak kahan, zindagi khud hi ibadat hai magar hosh nahi!
-- Jigar Muradabadi
[https://www.youtube.com/watch?v=iJEvVF1rHkw]
0 notes
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Jaun Elia
Jaun Elia ki ek ghazal ke chand ashaar: Ye gham kya dil ki aadat hai? nahi toh! Kisi se kuchh shikayat hai? nahi toh!
Tere is haal par hai sab ko hairat, Tujhe bhi ispe hairat hai? Nahi toh!
Kisi ke bin, kisi ki yaad ke bin, Jiye jaane ki himmat hai? Nahi toh!
Kisi soorat bhi dil nahi lagta? Haan! Toh kuchh dinon sE ye haalat hai? Nahi toh!
Wo darveshi jo taj kar aa gaya tu, Ye daulat uski qeemat hai? Nahi toh! (tajna: to give up or relinquish)
Tu rahta hai khwab o khyaal mein gum, Toh iski wajah fursat hai? Nahi toh!
Hum-aahangi nahi dunya sE teri, Tujhe ispe nidamat hai? Nahi toh! (hum-aahangi: in harmony with) (Nidamat: regret)
Wahan walon sE itni mohabbat, Yahan walon sE nafrat hai? nahi toh!
[http://www.youtube.com/watch?v=QWIrYIMtOEY&sns=fb]
0 notes
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Akbar Illahabadi (In his logical response to Iqbal's ode to the nation 'sare jahan sE achha HindostaaN hamara')
College mein ho chuka jab, ye imtehaaN humaara, Seekha zabaan ne kehna hindostaaN humaara, Raqbe ko kam samajh kar, Akbar ye bol utthe, Hindostaan kaisa, saara jahaaN humaara, Lekin ye sab ghalat hai, kehna yahi hai laazim, Jo kuch hai sab khuda ka, wahm o gumaaN humaara!
1 note · View note
sharjeel-imam-blog · 8 years
Text
Hasrat Mohani
kat gaya qaid mein maah e ramzaaN bhi hasrat, garche samaan sehr ka tha na iftaari ka [-- Hasrat Mohani in Allahabad Jail in 1908]
0 notes