Tumgik
#Syed Hussain Sibt-e-Asghar Naqvi
chashmenaaz · 9 months
Text
Be-naam fareha- Jaun Elia
UNNAMED FAREHA
Saari baatein bhool jana fareha Tha wo sab kuch ek fasana fareha
forget all the matters Fareha
it was all just a story Fareha
Haan mohabbat ek dhoka hi to thi Ab kabhi dhoka na khana fareha
yes, love was nothing but a deception
now never be deceived Fareha
Chhed de gar koi mera tazkera Sun ke tanzan muskurana fareha
if someone were to mention me
hear and smile sarcastically Fareha
Meri jo nazmein tumhare naam hain Ab unhein mat gungunana fareha
my poems that are named after you
now do not hum them Fareha
Tha faqat roohon ke naalon ki shikast Wo tarannum, wo taraana fareha
there was only the defeat of the drains of souls
that way of singing, that melody, Fareha
Bahes kya karna bhala halaat se Haarna hai, haar jana fareha
what to argue with the circumstances
have to get defeated, get defeated Fareha
Saaz-o-barg-e-aish ko meri tarah Tum nazar se mat giraana fareha
Do not let the luxurious belongings as i did
fall from your sight Fareha
Hai shaoor-e-gham ki ek qeemat magar Tum ye qeemat mat chukana fareha
there is a price to the awareness of sorrow but
do not pay this price Fareha
Zindagi hai fitratan kuchh bad-mizaaj Zindagi ke naaz uthaana fareha
Life is inherently somewhat unpredictable
bear with the whims of life Fareha
Peshkash mein phool kar lena qubool Ab sitaare mat mangana fareha
accept the offering of flowers
now don't ask for stars, Fareha
Chand weerane tasawwur mein rahein Jab nayi duniya basana fareha
when the deserted wilderness is in imagination
start a new life, Fareha
Jaanib-e-ishrat gah-e-shehar-e-bahaar Ho sake to milke jaana fareha
Towards the abode of joy, the city of spring
If possible, meet and go, Fareha
Sochta hun kis qadar tareek hai Ab mera baqi zamana fareha
I wonder how dark it is
Now, the rest of my time, Fareha
Sunn raha hun manzil-e-ghurbat se door Baj raha hai shadiyana fareha
I am hearing, being far from the destination of solitude
The wedding music is playing, Fareha
Mauj-zan pata hun main ek sail-e-rang Az-qafas-taa-aashiyana fareha
I know how to create waves, like a painter of colors
from the cage to the nest, Fareha
Ho mubarak rasm-e-taqreeb-e-shabaab Bar-murad-e-khusrawana fareha
Congratulations on the ceremony of youthful beauty
May your desires be fulfilled, Fareha
Saj ke wo kaisa laga hoga jo tha Ek khwaab-e-shayerana fareha
how would he have looked adorned, who was
a poetic dream Fareha
Sochta hun main, ke mujh ko chahiye Ye khushi dil se manana fareha
I think that i need to
wholeheartedly embrace this happiness Fareha
Kya hua gar zindagi ki raah mein Hum nahin shana-ba-shana fareha
What happens if on the path of life
we are not side by side Fareha
Waqt shayad aap apna jabr hai Us pe kya tohmat lagana fareha
Perhaps time in itself is tyranny
why accuse it, Fareha
Zindagi ek naqsh-e-be-naqqaash hai Us pe kya ungli uthana fareha
Life is an uncarved design
Why raise a finger at it, Fareha
Kash ek qanun hota jo nahin Zakhm apne kya dikhana fareha
I wish there was a law that didn't exist
Why show your wounds, Fareha
Kash kuch iqdaar hote jo nahin Phir bhala dil kya jalana fareha
I wish there were some choices that don't exist
why burn your heart, Fareha
Sirf ek jalti hui zulmat hai noor Taab-o-tabish par na jana fareha
light is only a burning darkness
dont be fooled by it's heat and fervor Fareha
Ye jo sab kuch hai ye shayad kuch nahin Rog jee ko kya lagana fareha
This everything that exists this might be nothing
why make the heart ill Fareha
Sail hai, bas be-karaan lamhon ka sail Gharq-e-sail-e-be-karaana fareha
It's a journey, just a collection of aimless moments
Drowning in the sea of purposeless journey, Fareha
25 notes · View notes
newsminatii · 2 years
Text
Jaun Elia Death Anniversary: Who was he and what was his cause of death?
Jaun Elia Death Anniversary: Who was he and what was his cause of death?
Jaun Elia Death Anniversary: Who was he and what was his cause of death?: Today is the death anniversary of legendary Hindi poet Jaun Elia who was also known as Syed Hussain Sibt-e-Asghar Naqvi. This article is dedicated to one of the most influential and loved Hindi poets in India and Pakistan, Jaun Elia. Currently, every poetry lover is remembering Jaun Elia on his 20th death anniversary. Thus,…
youtube
View On WordPress
0 notes
chashmenaaz · 5 months
Text
us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge
— jaun elia
What else will happen in the day of his remembrance?
Just like this, my hair is scattered and will be scattered more
10 notes · View notes