Tumgik
#Jawaz Karte
twofeetadventures · 1 year
Text
Morocco - From Tanger to Asilah
Our first days in Morocco. We report about our visit in Asilah and tell you some facts about SIM cards from Maroc Telecom and the toll fees in Morocco.
Tumblr media
View On WordPress
0 notes
ahtshamulhuque-blog · 7 years
Photo
Tumblr media
Kya huzur صلى الله عليه وسلم ka wisal 12 rabiul awwal ko hua he 12 Rabi Ul Awwal Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Nahi Hai - Most Extensive Research Paper بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم  Musalmano ko 12 Rabi Awwal Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم Manane Se Rokne K liye Kaum E Wahabiya Aur Inke Tamam Hum Khayal Firqe ab tak puri tarah bebas hochuke hai bas unke pass sirf fareb dhoka makkari k elawa kuch baaki nahi raha.  Ahle Sunnat Wa Jamaat Ne Milad Un Nabiصلى الله عليه وسلم k jawaz par jitne dalail pesh kiya phir chahe wo Quran Sahi Hadees se ho ya Aimma Fuqaha k kitab se ya khud Kaum E Wahabiya k Aqabireen ki kitab aur fatawo se ho hakikat yehi rahi k wahabi unka jawab naa la sake kabhi. To ab Milad se rokne k liye ek naya aitraaz laaya gaya wo ye k 12 Rabi Awwal Sharif k din Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلمKa Yaum E Wisal Huwa Sahaba Gamgeen the us din khusi to Dushmane Islam ne manayi thi aur tum bhi manate ho ye aitraaz kar ek aam Musalman ko confuse kiya jaata hai.  Aaye Ab Hadees Aur Tareekh ki kitabo me Is Talluk se Kya Likha Hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ka Yaum E Wisaal Kab Huwa  ?  Iske Talluk se hume jo milta hai wo yaha pesh karte hai. 01) 12 Rabi Ul Awwal : Ye kaul Umool Momineen Sayeeda Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Aur Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho ki Taraf Mansoob hai.  (Ibn Kathir Al Badaya Wan Nahaya Vol : 05, Pg : 256) Ye Rivayat Jo 12 Rabi Awwal ki hai is rivayat me Ravi Hai “Imam Muhammad Ibn Umar Al Waqidi Aur “Muhammad ibn Ali Ibn Subarrah” jinpe Muhadiseen ki kaafi jirah Hai ye dono raavi Sayyida Ayesha Radi Allaho Anha k rivayat  me hai.  Imam Ali bin Al Madeeni, Imam Abu Hatim Razi, Imam Yahya Ibn Moeen Rizwanullahi Azmayeen ne kaha Imam Waqidi Siqaah Nahi Hai. Imam Ahmad Ibn Hambal ne Kaha Imam Waqidi Hadees gadte hai. Imam Hatim Aur Imam Bukhari Ne Kaha Imam Waqidi Masrooq Hai Yaani Rejected.  Imam Murrah Kahte Hai Imam Waqidi Se Koi Hadees naa le. Imam ibn Aadi Ne Kaha Imam Waqidi Par Aimma Ki Jiraah hai. Imam Zahbi Ne Kaha Muhadiseen Ne Waqidi Ko Zaeef Kaha Hai.  (Al Mizan Ul Aitedaal Fi Naqd Ul Rijaal Vol : 02, Pg : 425 - 426) more information Eid milad visit my web site https://ahlesunnatvsbaatil.blogspot.in/2017/11/eid-e-miladunnabi-sallallahualaihiwasal.html
1 note · View note