Tumgik
rekhtaa · 5 days
Text
Tumblr media
It's my 6 year anniversary on Tumblr 🥳
Wednesday, April 24, 2024
3 notes · View notes
rekhtaa · 1 month
Text
Kal tadapnaa pade, yaad men jin ki Rok lo, rooth kar, unko jaane naa do . Baad mein pyaar ke, chaahe bhejo hazaaron salaam . Woh phir nahin aate, Woh phir nahin aate
- Lyricist : Anand Bakshi,
Saturday, March 30, 2024
3.20 PM, Bangalore, India
22 notes · View notes
rekhtaa · 1 month
Text
Jab kashti saabit-o-salim thi, saahil ki tamanna kis ko thi?, Ab aisi shikasta kashti par, saahil ki tamanna kaun kare? . Jo aag lagaai thi tum ne, usko to bujhaya ashkon ne, Jo ashkon ne bhadkaai hai, uss aag ko thanda kaun kare ?
-
Moin Ahsan Jazbi
Sunday, March 24, 2024
12.00 AM, Bangalore, India
38 notes · View notes
rekhtaa · 1 month
Text
Umr hi guzregi imtihan mein kya,
Daagh hi denge mujhko daan mein kya
.
Meri har baat be-asar hi rahi,
Nuqs hai kuch mere bayaan mein kya
.
Yun jo taakta hai aasman ko tu,
Koi rahta hai aasmaan mein kya
.
Ye mujhe chain kyun nahin padta,
Ek hi shakhs tha jahaan mein kya
-
Poet : Jaun Elia
Wednesday, March 20, 2024
8.25 PM, Bangalore, India
86 notes · View notes
rekhtaa · 1 month
Text
Kabhi kisi ko, mukammal jahaan nahin milta,
Kahin zamin, toh kahin aasman nahin milta,
Tamam shahr mein, aisa nahin khulus na ho,
Jahan umid ho iski, wahan nahin milta,
Kahan charagh jalaen, kahan gulab rakhen,
Chhath-en to milti hain, lekin makaan nahin milta,
Ye kya azaab hai, sab apne aap mein gum hain,
Zaban mili hai, magar ham-zaban nahin milta,
Charagh jalte hi, binaai bujhne lagti hai
Khud apne ghar mein hi,  ghar ka nishan nahin milta
-
Nida Fazli
Saturday, March 16, 2024
12.10 am, Bangalore, India
64 notes · View notes
rekhtaa · 1 month
Text
Yahaan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzu na mila,
.
Kisiko hum na mile, aur humko tu na mila
-
Friday, March 15, 2024
9.10 PM, Bangalore, India
86 notes · View notes
rekhtaa · 3 months
Text
“Mere paas khaamoshi ke siwa koi hal nhi hai, . Main baat karta hun toh baat bigad jaati hai.”
Credits : open
February 11, 2024
Sunday, 9:00 PM
Bangalore, India
126 notes · View notes
rekhtaa · 7 months
Text
Wo sunta to main kehta, Mujhe kuch aur kehna tha,
Wo pal bhar ko jo rukh jaata, Mujhe kuch aur kehna tha
.
Kahan? usne suni meri, suni bhi un-suni kar di,
Usay maloom tha itna, Mujhe kuch aur kehna tha.
.
Ghalat fehmi ne baaton ko barha dala yunhi, warna,
Kaha kuch tha, wo kuch samjha, Mujhe kuch aur kehna tha.
-
Credits : Open
September 21, 2023
Thursday, 11:55 PM
Bengaluru, India
93 notes · View notes
rekhtaa · 11 months
Text
Jab har cheez ko chhor hi jaana hai,
Toh haasil kya, mehroomi kya, jeet kya aur haar kya ?
-
Credits : Unknown
Tuesday, June 6, 2023
10:15 PM, Bangalore, India
142 notes · View notes
rekhtaa · 1 year
Text
Maana ke tere deed ke qaabil nahi hun main,
Tu mera shauq dekh, intezaar dekh
-
Allama Muhammad Iqbal
Thursday, January 26, 2023
3.30 PM, Bangalore, India
138 notes · View notes
rekhtaa · 1 year
Quote
Pehle lagta tha, tum hi duniya ho, Ab lagta hai, tum bhi duniya ho
Fehmi Badayuni 
Saturday, January 21, 2022
5.30PM, Bangalore, India
99 notes · View notes
rekhtaa · 1 year
Video
Ek din aap yun hum se chhin jaayenge dil ki duniya mein hum yuhin gir jaayenge
Humne socha na tha
Pyar karne se ab hum to dar jaayenge Aansuon ki kahani mein beh jaayenge
Humne socha na tha
Faaslay hum mein itne yun badh jaayenge jab nigahon se hum teri gir jaayenge
Mar ke bhi hum na tumko milenge kabhi khwaishen sab adhuri rahengi wahein
Humne socha na tha
-
Ahmed Nadeem
December 19, 2022
7:50 PM, Bangalore, India
232 notes · View notes
rekhtaa · 1 year
Quote
Tumhara hijr mana lun ?  Agar ijazat ho .. Main dil kisise laga lun ? Agar ijazat ho .. Tumhare baad,  bhala kya hain waada-o-paiman ? Bas apna waqt ganva lun ? Agar ijazat ho .. Tumhare hijr ki, shab-ha-e-kar mein, jaana .. Koi charagh jala lun ? Agar ijazat ho .. Junoon wahi hai,  wahi main,  magar hai shehr naya, Yahan bhi shor macha lun ? Agar ijazat ho .. Kise hai ? khwahish-e-marham-gari, magar phir bhi, Main apne zakhm dikha lun? Agar ijazat ho .. Tumhari yaad mein, jeene ki aarzu hai abhi, Kuch apna haal sambhal lun ? Agar ijazat ho ..
Jaun Eliya
Glossary:
1) Waada-o-paiman -  Promise and affirmation, commitment, the solemn promise
2) Shab-ha-e-kar - Nights of engagements
3) Khwahish-e-marham-gari - Desire to apply ointment; provide cure
Sunday, December 11, 2022
7:00PM, Bangalore, India
68 notes · View notes
rekhtaa · 2 years
Text
Kisiko nahi khabar ke kabile ka kya hoga ?
.
Sab is pe lad rahe hain ke Sardar kaun hoga
Tumblr media
-
Friday, October 28, 2022
10:30 PM, Bijapur, India
24 notes · View notes
rekhtaa · 2 years
Text
Ye dukh alag hai ke ussey mai dhoor ho raha hun,
Ye gham juda hai ke woh khud mujhe dhoor kar raha hai
.
Kya galat fehmi me reh jaane ka sadma kuch nahi?
Woh mujhe samjha to sakta tha ke aisa kuch nahi,
.
Jaane kaise raaz seene me rakhe baitha hai woh,
Zeher kha leta hai par muh se ugalta kuch nahi
-
Tehzeeb Hafi
Thursday, October 27, 2022
10:20 PM, Bijapur, India
42 notes · View notes
rekhtaa · 2 years
Text
Behtar toh yeh hota, hum mile hi na hote, magar jaane de,
.
Aadatan to sochenge, hota yun toh kya hota, magar jaane de
.
Woh jo tha khwab sa, kya kahen jaane de,
Ye jo hai kam se kam, ye rahein kya jaane de
youtube
Tuesday, October 11, 2022
07.07 AM, Bijapur, India
34 notes · View notes
rekhtaa · 2 years
Text
Shaayad..Bas.. Kuch hi pal ki dhoori hai..
Credits : Open
Monday, October 10, 2022
12:02 AM, Bijapur, India
30 notes · View notes