Quote
Shambhoo Tera to sifar se hi safar hai, anjaam se bhi pare hai tu Teri ibaadat ka kuch alag hi asar hai, khuda nahi inaam hai tu Sach hai tu, aur tu hi khoobsurat hai Tujhe paane ki bas qurbaani hi to keemat hai Khud ke liye to tu sirf mara hai, dusro ke liye zinda hai Tere naam ki aandhi har dil me sada hai Soch kar hairan hu ki jahaan ko mitane vale Tere tandav me aisi kya adaa hai? Tere naam ki goonj hai par fir bhi lagta gumnaam hai tu Dar dar bhatka tujhe khojne mai Par lagta hai naayaab hokar bhi bohot aam hai tu Nahi samajh payenge tujhe, to kya faayda sochne me Meri rooh ka shehenshaah hokar bhi uski aavaam hai tu Kaise dhunde tujhe? Yahi maksad tha meri zindagi ka Shayad ab pata chal gya hai mujhe Tu yaha hokar bhi nahi hai Galat hokar bhi sahi hai Tu utna hi amrit me, jitna zeher me hai Tu utna hi mujhme, jitna sab me hai Gardan pe tere koi saanp nahi balki guroor hai Jo paal liya, to kamyabi zaroor hai Jatao par teri chaand nahi vo to nasha hai Tu usse sar pe chada kar bhi usse door hai Tu nashe me choor hai par hosh me zaroor hai Is beech ke raste ko tune achhe se paima liya hai Nasha aur hosh tune saath me hi aazmaa liya hai Kuch log tujhe sher ke libaas me bhi nanga kehte hai Saare jahaan ke paap dhone vali Teri jataao se nikli us nehar ko aaj ganga kehte hai Iske paani me hi sare jahaan ki ilm or akal hai Jo peele vo zindagi me safal hai Maut se zindagi jitna hi tujhe lagaav hai Prachand hokar bhi tu ek sargam bahaav hai Kyu itna man mutaav hai? Aankhein kholkar is duniya ki khoobsurti ko dekho Ye Shambhoo ka hi to prabhaav hai Vo khud me hi ek pehchaan aur naqaab hai Asliyat hokar bhi ek khwaab hai Jo pehchaan kar bhi anjaan ho To tum hi kaamyaab ho Kyuki vo sach aur jhuth ke beech ka ek jawaab hai Chal aaj is duniya se nahi darrte hai Ant me hokar bhi shuru karte hai Aa safalta ki naakamiyabi jhelte hai Shankar Shankar khelte hai Aa is qaaynaat ka saara zeher peete hai Shambhoo ke andar jeete hai
Manas
#shayari#Shayar#ishq#sher#poetry#poem#poet#poets on tumblr#kavita#shiv#shiva#lord shiva#mahadev#bholenath#bholebaba#shambhu#writing#writer#writers#tumblr#hindi#Urdu#rekhta#ganga#lord shiv#om namah shivaya#har har mahadev#tandav#nazm#ghazal
7 notes
路
View notes
Note
Favv shayari?
ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai
dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai
dil na ummeed to nahi nakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
-Faiz Ahmed Faiz
2 notes
路
View notes
Conversation
Khaamoshi bhi bohot kuch kehti hai, dost chup rehte hai aur dosti sehti hai
Dhruv: Kaise ho?
Manas: Akele the akele hai, jaise bhi hai apni tanhayi ke saath zinda hai
Dhruv: Zinda to yaha sab hai sahab. Apni zindagi se kitna nikaal paa rahe ho ye poocho apne aap se.
Manas: Zyada nahi bas apni zindagi se jitni ho sake utni khushiyan neechod leta hu, maana adhoora hu par andhere me bhi ujaala dekh leta hu.
#poetry#poem#poet#poets on tumblr#shayari#Shayar#shaad#ishq#sher#chahat#chat#dhruv#manas#khaamoshi#love#love quotes#rekhta#Urdu#hindi#kavita#writing#writer#writers#quotes#quote#quoteoftheday#dost#dosti#akele#tanhayi
2 notes
路
View notes
Quote
Meri Zindagi Ek Safar Hai Koi Pinjara Nahi, Yaha Sab Musafir Hai Mere Kaidi Nahi
Manas
#Urdu#hindi#shayari#Shayar#sher#zindagi#safar#musafir#kaidi#pinjara#poetry#poem#poet#poets on tumblr#writing#writer#writers#art#love#love quotes#rekhta#word poetry#my words#word#wordporn
7 notes
路
View notes
Quote
Waqt hi to tha, kat jaata Apni mohabbat ko saalo me nahi ginta hu shayad isiliye kyuki us ishq ki umr kam thi Mehboob nahi tu to bas mere seene par ek zakham thi Har lamha mujhe yaad hai, aur unme se sabse haseen vale roz chunta hu Apni sabse sunehri yaadon ko yaad krta hu, aaj bhi tujhse utni hi mohabbat krta hu Lekin kabhi bhi teri bewafaayi ko apne zehn se nahi bhulata hu Achha ho ya bura, meri hi tassali ke liye bata de kya tujhe kabhi bhi yaad aata hu? Teri wafa ki wajah se hamare beech ki doori bhi kam hoti gyi Mai raste ki tarah chalta gaya aur tu waqt ki tarah kat te gyi Teri beparwaah aankhon me doob gaya aur karli jo tune palke band Har lamhe me tujhe jee gaya aur tu unhi lamho ko ginti gayi Ab jee bhar ke dekhle mujhe, fursat ke ye pal shayad hi milenge ab Tujhse milne ki chaah me roz sochta hu shayad ab..ab...ab Sukkhe patto ke jaise yu ek patjhad ki hawa banke tune mujhe jhinjhod diya Mushkile kis rishte ke beech nahi aati hai Tune to yaar ek hi pal me ye rishta tod diya Yahi keemat thi is mohabbat ki, jo itni asaani se muh mod liya Aisi bhi kya khata thi jo tune kisi aur se rishta jod liya Gardish ke baadlo ke beech shayad kam ho gya tha mera pyaar Mana har pal bura tha, magar waqt hi to tha, kat jaata yaar Meri andar ki kami bhi ab ye mohabbat nahi maangti mujhse Do saal hone ko aa gye hai meri jaan Shayad ab aage bad gaya hu tujhse, ya ye fareb hi hai khudse
Manas
#urdu#poetry#poem#poet#poets on tumblr#quotes#quote#love quotes#quoteoftheday#love#rekhta#hindi#shayari#Shayar#sher#Nazm#ghazal#writing#writer#writers#waqt#Mohabbat#ishq#heartbreak
2 notes
路
View notes
Quote
Sawaal? Dost aksar sawaal karte hai? ye likhne ke khayaal kaha se aate hai Khayaal to sahab pal me aate hai pal me jaate hai Ab kaise batau ki Meri ummmeed hi mujhse jhut bolte gayi Jo palke maine jhukayi Meri rooh apna sara dard bayaan karti gayi Mai likhte gaya aur mere ishq ki daastaan yu shabdo me chalte gayi Dost aksar sawaal karte hai? kya abhi bhi uska khayaal aata hai Sahab kya batau zehn se hi nahi jaata hai Apne aap se hi apni ek tarfa mohabbat chupata hu Jo pakda gaya to apni hi nazro me gir jaunga Isiliye hi shayad likhe ke batata hu Chahe door bhi nikal jau, laut kar ushi ki or vaapis aata hu Ek baar uska naam leni ke der hai, Paaglo ki tarah apni chaahat bayaan kare jaata hu Sab aage nikal padhte hai, mai hi beete waqt me reh jaata hu Dost aksar sawaal karte hai? kya zaruri hai har kisi ko uske bare me batana Sahab ab kya bataye, yahi to ek tareeka aata hai hume ki pyaar kaise hai jataana Apni mohabbat ko apni yaadon me kaid karke nahi rakhna chahta hu Itni khoobsurat hai meri mohabbat, soch raha hu duniya se hi baat leta hu Is daastaan ke har zarre me aapko kahi nadaani to kahi zara si pareshaani milegi Magar meri is kam umr mohabbat me kahi beimaani nahi milegi Vaada hai mera dost, ki jab tak saasein chalegi Tab tak usse kho dene ke dard se ye rooh jalegi Par fikr abhi bas ek hi baat ki hai Ki jaane ye gham ki shaam kab dhalegi?
Manas
#poem#poetry#poet#poets on tumblr#Urdu#hindi#kavita#shayari#Shayar#sher#Nazm#writing#writer#writers#Dard#quotes#quote#love quotes#quoteoftheday#love#Mohabbat#ishq#ghazal#rekhta
2 notes
路
View notes
Quote
Dilli Ye dilli hai dost, aur shehro ki tarah nahi hai Iski galliyon mein ik pal mein khane ke khushbu aati hai Aur shehro ki tarah tum isse nahi Ye tumhe apnati hai Makkaari bhi yaha log gale laga kar karte hai Aur gale lagane me ham yaha choro me bhi farak nahi karte hai Dahleez hai ye shehar yaha ke logo ke dilo ki Andar aa gaye to fir ab bina ijaazat ke bahar nahi ja paoge Chale bhi gaye to laut kar fir vapis aaoge Kabhi kallu ki nihaari to kabhi sita ram ke chhole bhatture to dabba ke khaaoge Yaha azaan ke waqt mandiro ke bhajan ruk jate hai Aur holi pe Imran miyaan jahan se hatke hamare liye kheer banate hai Yaha maulavi sahb aur pandit ji tabarruk aur aashriwaad me farak nahi karte hai Ye chand mahzab pe ladne vale log ham dillivalo se bohot jalte hai Banjaaro ne bhi is shehar ko apna bata diya Hamara kya hai hamne to Mirza Ghalib ko bhi apna bana liya Shayar aur shehan shaah is shehar ke yaar hai Humayun se lekar Mirza ghalib yaha nisaar hai Is shehar ko maut se zindagi jitna hi pyaar hai Yaha ki hawa mein khushbu nahi mashware hai Yaha har mod par zaheen maskhare hai Is shehar ke har zehn ne bas dard dekha hai Tabhi toh dil khol ke mohabbat dena seekha hai Ham to yaha bade hue hai yaar har gali se apna naata hai Magar aaj bhi har baar is shehar ka kuch naya rang dikh jata hai Yaha ka har banda bahar ke shehro me zaleel hai Are agar hamari gaaliyon me pyaar hai to ye hamara zameer hai Yaha par ek baar keh do to tumhari baat ki keemat hi daleel hai Dilli ka ek ek bhikaari tumhare shehar ke raaeso se ameer hai Ye dilli hai dost aur shehro ki tarah nahi hai Ghar se door aaye ho to bohot akela paoge apne aap ko Akelapan mitaane ke liye jab nikloge is shehar me raat ko Ik thandi hawaah ka jhoka aakar sare dard se ladna sikha jayega Sar utha kar is shehar me kaise jeete hai ye aapko bata jayega In sooni galliyo ko aapse kitna pyaar hai ye jata jayega Aise hi yaha har kisi ko akal aati hai Aur shehro ki tarah tum isse nhi ye tumhe apnati hai
Manas
#Urdu#hindi#kavita#poetry#poem#poet#poets on tumblr#love#love quotes#ishq#Mohabbat#ghazal#Nazm#heartbreak#quotes#quote#quoteoftheday#delhi#new delhi#dilli#city#delhi 6#rekhta#shayari#Shayar#sher
11 notes
路
View notes
Quote
Waaqfa:- Vaise to bhula dene ka hi iraada hai Magar bhoolunga nahi ye vaada hai Meri is mohabbat ko galatfehmi kehke jhutla na Isse dosti keh ke mere dil ko behla na gham ke ujaale aur khushi ke andhere me farak mujhe maloom hai Itna to mera khud se hi Waaqfa hai.
Manas
#poet#poem#poetry#poets on tumblr#rekhta#urdu#shayari#shayar#love#mohabbat#maloom#dsoti#iraada#vaada#writing#writers
19 notes
路
View notes
Quote
Thoda:- Meri vo mehfil hi kya jisme tu dushnaam na ho Apni chaahat ka mazak na banau to adhuri si shaam ho Nafrat nhi ye to bas meri nakaamiyaabi ki aag hai Kahi to jalunga hi na Isliye dikhti kabhi andar hai kabhi bahar hai Ek tarfa dard-e-wafa se shayad ab azaad hu Bas thoda shaad hu thoda barbaad hu
Manas
#poem#poetry#poets on tumblr#shayari#shayar#nazm#ghazal#urdu#rekhta#love#thoda#nafrat#writing#writer#wafa#barbaad#shaad#dard#chahat#mehfil
2 notes
路
View notes
Quote
Falak:- Aazad parindey ho mere dost badi muddat ke baad udna seekhe ho Na-dida tumhari udaan hai pechida tumhara makaam hai Sanjida tumhara jahaan hai bosida tumhare bin ye aasmaan hai Udke kahi door na chale jana Tujh bin nam dida ye aashiyaan hai.
Manas
#poem#poetry#poet#poets on tumblr#writing#writer#shayari#shayar#nazm#ghazal#love#parinda#azaad#kavita#urdu#rekhta
1 note
路
View note
Quote
Kitaab:- Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu Ik roz mukhatib hua tha tumse Maaloom hua koi ajanabee nhi taabiir thi tum Mana zindagi me kam thi lekin kaseer thi tum Ek toote parindey se uns rachane ke kaabil thi tum Fir khabar aayi tere kisi aur ke hone ki Chahne vale to honge hi, thi to jo tu sone ki Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu Roz bhulane ki koshish thi meri Dil ke saare khwaabon ko mitane ki saazish thi meri Par derr bohot ho chuki thi Qaaboon me nahi tha ab dil mera Ab to saath khaamoshi hi thi Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu Ghut kar mar gaya apni chaahat ke saath main Mujhe to laga tha dil tera meri chaahat ko lekar na-bina tha Aksar mujhe dekh kar tu muskaraya karti thi Par isme koi ishaara nahi bas tere salaam karne ka tareeqa tha Ghut kar mar gaya apni chahat ke saath main Mujhe kya pata tha mai hi dil-o-dimaag se na-bina tha Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu Teri muskuraahat ke peeche ka gham mujhe dikhne laga Tere andar ki kami dekh ke Mere andar ka aashiq dobara jalne laga Koi kaise tujhse badtameezi kare Ye soch ke mauka mujhe ek dikhne laga Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu Mauka nahi shayad dastoor tha, Vo bewakoof tere paas hokar bhi door tha Ab khwabeeda sa lagne laga mujhe apna makaam Tujhe apna banana mera fitoor tha Makaam maine apna araam se paa liya Tere har zarre ko apni maujudgi me sama liya Har roz yaadon ki kitaab apni kholta hu, tere hi kisse chun chun kar padta hu Yaad to bohot karta hu magar ab batane se darrta hu
Manas
7 notes
路
View notes
Quote
Darrta hu mai:- Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai, kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai Jaani pehchani galliyan bhi ab anjaan lagti hai, Inki naarazgi bhi mujhe badi naadaan lagti hai Ghar ko teri jo raah jaati hai aaj bhi pukara karti hai, Koi usse samjhao ab meri nhi kisi aur ki yaha haazri lagti hai Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai, kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai Motiyo sa itr hai in hawaaon me, Dil-e-nadaan aaj bhi khelta hai in baaghon me Samjhane ko to samjha bhi lu, behlane ko to behla bhi lu Jhooti hoti to mita bhi lu Toli jaa skti to paima bhi lu chuka bhi lu Magar lagta hai abhi sirf itraa hi lu to sukoon hai Ulfat-e-nakaam nhi ye mera junoon hai Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai, kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai Sach kahu to kal hi guzra mai teri gali se Peecha nhi kr rha hu tera Ye roz roz aana mera salaam hi to hai Maana ki mehfil ab meri nhi par Aaj bhi dil tera ghulaam hi to hai Nahi aunga ab se Peecha krke nahi sataaunga ab se Vaada hai mera Lekin kab tak rokega tera ye vaada, Ye mujhpe chand der ki lagaam hi to hai Unhi jaani pehchaani galiyon se roz guzarta hu mai, kisi din tujhse rukhsat na ho jau, shayad issi baat se darrta hu mai
Manas
#poetry#poem#poets on tumblr#shayari#shayar#dard#nazm#writing#urdu#rekhta#love#love quotes#hindi#quote#quotes#quoteoftheday#ghazal#ghulam#darr
15 notes
路
View notes