Tumgik
#nigaahe
divingindeep · 11 months
Text
Bas ek Baat kehni hai tumse
Ke tumhe dekh ke tham jaye ek lamha bhi
Phir meri nigaah kya cheez hai?
0 notes
peerzadafaizan · 8 months
Text
Tumblr media
Do chaar din huye hain mujhe parsa huye..!!
Masti bhari nigaah se dekha na kijiye..!!
22 notes · View notes
sanelyinsanemiss · 7 months
Text
In English we say, " He never came back "
But in Urdu, " Uske Lautne ke Intezar Me Mene Apni Dehleez prr Nigaahe Sajaa Rakhi thi,
Lekin Vo Mashroof Apni Nafrat me Itna the ke Wapis Aane ka Raasta hi Bhula Bethe !" 💔🥀
19 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 1 year
Text
tum
//
sej par kitaabon mein uljha hua main, aur khidki par latein suljhati hui tum, angrezi ke shabdon mein atka hua main, aur khilkhila kar wo lafz dohraati hui tum, tumhe sher o' ghazal sunaataa hua main, aur mujhe sonnet samjhaati hui tum.
kis qadr tumhari zubaan mein katraata hua main, aur samne urdu ke ashaar si lubhaati hui tum. kurbat ke khayaal se ghabraata hua main, aur falak ki ek noor si nazdeek aati hui tum.
surkh saareeyon se almaari bharta hua main, aur mere kurte ko daaman pe sajaati hui tum. in palon ko os ki boondon sa pirotaa hua main, aur apne hothon pe ishq e tarrannum gungunati hui tum.
soz e ishq e sawaar e ilaaj khojta hua main, aur ek mohabbat ki aatish jalaati hui tum. ikraar ki kashmakash mein dooba hua main, aur ek nigaah se mujhe apna banaati hui tum.
sej par kitaabon mein uljha hua main, aur khidki par latein suljhati hui tum.
//
@ronaldofandom - aashaa hai aapko pasand aayega
@carminavulcana
40 notes · View notes
qalbofnight · 11 months
Text
Tumblr media
Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makee’n Sahi Wo Nigaah-E-Shoq Se Door Hain, Rag-E-Jaa’n Se Laakh Qaree’n Sahi
Humein Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarha, Wo Kahee’n Sahi Humein Aap Khinchiye Daar Par, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi
Sar-E-Tour Ho, Sar-E-Hashr Ho, Humein Intezar Qubool Hai Wo Kabhi Milein, Wo Kahee’n Milein, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahee’n Sahi
Na Ho, Un Pe Jo Mera Bas Nahi K Ye Aashiqi Hai Hawas Nahi
Jo Ho Faisla Wo Sunaaiye, Issay Hashr Par Na Uthaaiye Jo Kare’n Ge Aap Sitam Waha’n, Wo Abhi Sahi, Wo Yahi’n Sahi
Usey Dekhne Ki Jo Lau Lagi To Naseer Dekh Hi Len Ge Hum Wo Hazaar Aankh Se Door ho, Wo Hazaar Parda-Nashee’n Sahi
41 notes · View notes
ghanaasaaya · 6 days
Text
teri behki behki nigaah ne mujhe ik sharabi bana diya 👹
2 notes · View notes
shayriara · 1 year
Text
#Zalim
यूँ हवस भरी निगाह से न देख ज़ालिम
तेरा इस तरह से देखना मुझे अंदर से मार जाता है..
Yu hawas bhari nigaah se na dekh zaalim
Tera is tarah se dekhna mujhe ander se maar jaata hai..
- Krishna Sharma (कृष्णा शर्मा )
20 notes · View notes
lazzydaisyy · 2 months
Text
Kuch mujh me tu aese basa hai
Koi mujh me na meri jagah hai
Kuch dekhu to tu dikhta hai
Meri ankhon main teri nigaah hai
#s
2 notes · View notes
Note
Tere pyaar ne, Teri chaah ne, Teri behki behki nigaah ne...
MUJHE EK SHARABI BANA DIYA KE SHARAB PEENA SHIKHA DIYA
9 notes · View notes
Text
Us ke naam pe aaj bhi sab ki nigaah dhoondti toh mujhe hi hain
Saath nahin toh na sahi, par humare kisse hi kafi hain
Qayamat ko manzoor nahin tha aur humein yaqeen nahin hua
Waqt ne alag aur jazbaaton ne mana hi liya ki
Saath nahin toh na sahin lekin yeh Ishq mashoor hoga
Uske naam pe mujhe aur naam pe use har jana yaad rakhega
- Ruchika Lohiya
9 notes · View notes
yourfavanxioussunshine · 11 months
Text
the urge to tell her "ho nigaah-i-karam warna chaukhat pe hum
aap ka naam le le ke mar jayenge"
and also "you've snatched all traces of me with your one enchanting glance"
and also "whether or not you speak to me
whether or not you listen to me
whether or not you acknowledge me
I won't be able to leave your side o my beloved"
and also "ho habeeb-i-hazeen pr bhi aaqa nazar
warna auraaq-i-hasti bikhar jayenge"
and also " the ardent gaze knows boundless fulfillment in your arms
there's neither fear of life nor sorrow of death in your presence
If you look at me but once, all the cells of mine will sing the song of life"
and also ........
6 notes · View notes
Text
Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi, Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,
Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi, Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,
Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai, Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,
Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi, Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,
Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe, Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,
Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi, Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,
Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai, Mujhe uss ka gham to naseeb hai, woh agar nahin to nahin sahi,
Jo ho faisla woh sunaayiye, ussey hashar pr na uthaayiye, Jo karen ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi,
Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,
Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..
4 notes · View notes
bollywoodirect · 1 year
Text
Tumblr media
"Ye kya jagah hai dosto, ye kaun sa dayaar hai
Had-e-nigaah tak jahaan, gubaar hi gubaar hai"
Remembering Khayyam, the great composer of serene and sublime melodies, on his 4th death anniversary (19/08/19). Celebrating the musical journey of Khayyam, the maestro who left an indelible mark on Indian cinema. From his early days in Lahore, mentored by Baba Chishti, to his iconic contributions in Bollywood, his journey is awe-inspiring. Films like 'Heer Ranjha', 'Biwi', 'Shola Aur Shabnam', and 'Aakhri Khat' showcased his genius early on. His collaboration with poets, especially Sahir Ludhianvi, gave us masterpieces in 'Kabhi Kabhie' and 'Phir Subha Hogi'.
The 1981 classic 'Umrao Jaan' stands as a testament to his brilliance, with songs like "In Aankhon Ki Masti Ke" becoming evergreen hits. His work in 'Razia Sultan', especially "Aye Dil-e-Nadan", is considered a milestone. Khayyam's music, a blend of ghazals and Indian classical, was always rich in poetry and emotion. His generosity shone bright when he donated his entire wealth to support budding artists. A true maestro, his legacy will forever resonate in the corridors of Indian music
3 notes · View notes
kunalkarankapoor · 1 year
Text
Tumblr media
"Peshaani mein likhe jo maine vo asar la na sake kuchh alfaaz mere... Ke ye mera mohabbat-naama..khol bhi to na sake dil ke raaz mere." - @preetirajkotiya
"Khushi vo muskuraate gul kee na daavedaar nikli... Ilm to yun raha ki zindagi badi mazedaar nikli. Gam-gusaar kahaan kaante..jiske hai hisse aaye... Khile bhi khushk hone ko par khushboo damdaar nikli."
"Saanse lun to chaahat bandgi si lag gayi... Ki woh bhi kya aadat zindagi ki ban gayi."
Tumblr media
"Vo gam bhi kitne baar-baar dil-e-zaar karne ko... Ki mohabbatein bhi meri kya kam thi izhaar karne ko. Khaamosh kar jaate baar-baar mujhe tere khayaalaat... Ki majbooriyaan bhi teri kya kam thi inkaar karne ko." @preetirajkotiya
Tumblr media
Dil se kuchh iss kadar chaah gujhrti rahi...didaar ko phir ye nigaah tarasti rahi. Khaamoshi kar na paayi dard agarche bayaan...jab bhi main muskuraaya..aah niklti rahi. @preetirajkotiya
2 notes · View notes
seema-chahal · 1 year
Text
Tumblr media
gareeb,
karata aap kabeer hai, abinaashee bad allaah.
raam raheem kareem hai, keejo surati nigaah . .
#GodNightMonday
#SantRampaljiQuotes
📲 Visit our YouTube Channel: Satlok Ashram
3 notes · View notes
ihateyouvishal · 1 year
Note
Heyyy did you like those lines???
yes i did, you can change the last line i guess because it doesn't make sense imo...idk something like "mohobbat na vasl na Qayamat, mohobbat toh bas tujhse milte meri jhukti nigaah hai" or maybe "mohobbat toh bas inkaar me chupa iqraar hai" though don't think much about it cuz im not so much know to the whole poetry thing either, i just like reading them and write sometimes.
2 notes · View notes