Tumgik
#sahi galat
Text
Hum insaan hi toh hai
Galat tu bhi ho sakta hai , Mein bhi.
Kyun ilzaam laga e ekdusre per?
Sahi Tu bhi nahi , Mein bhi nahi.
- Noor Us Saba
Tumblr media Tumblr media
24 notes · View notes
berrylovesmymood · 4 months
Text
you are not doing it wrong if no one know what you are doing
10 notes · View notes
burgirrrr-rants · 7 months
Text
Why does making the correct decision seem so wrong and so painful?
3 notes · View notes
jeevanjali · 2 months
Text
Shani Dev: शनि देव की पूजा में तांबे के बर्तनों का उपयोग क्यों नहीं होता?Shani Dev: शनि देव न्याय, कर्म और दंड के देवता माने जाते हैं। उनकी पूजा करने से कर्मों का फल मिलता है,शनि देव की पूजा से शनि की साढ़े साती और ढैय्या से बचाव होता है, और जीवन में सुख-समृद्धि आती है।
0 notes
astridthevalkyrie · 1 year
Text
my comfort hindi dub is the let it go by priya vedula
0 notes
patanahikyun · 24 days
Text
pata hai ?
yahaan se bohot dur...
galat aur sahi ke paar..
ek maidan hai..
mai vaha miluga tujhe...
54 notes · View notes
bareillyki-barfi · 2 months
Text
aakhir chahiye kya aurat ko?
Gar kabhi me Ruth jau toh tum pyaar se mna liya krna,
Tum aur me alg toh nhi khana kbhi me banau toh kbhi tum bna liya karna.
Kabhi ghar ko der se aao toh toh sath ek phool le aana,
Tumahara thoda waqt maangu toh pal bhar ke liye hi sahi duniya ko bhool jana.
Koi takleef ho tumhe toh meri god me sar rakh kr sojana,
Vese bhi iss kashmakash me kahan milega mujhe waqt tumhara rozana.
Zindagi naa jaane kb Rukh mod le , pyaar aaye toh jta Diya karna,
Pura haq hai tumhara mujh par , lgu me kbhi galat toh bta Diya krna.
Tum aur me alag toh nhi saamne rone ka Mann ho toh katrana mat,
Kahin me smjh na Pau tumhe is baat se ghabrana mat.
Aur tum jo puchte ho naa aakhir chahiye kya mujhe?
Toh suno. tumhara pyaar. Tum. Aur sirf tum.
31 notes · View notes
yahvii · 3 months
Text
Sahi answer kaat ke galat answer likhne ka dukh hai
14 notes · View notes
Text
Tu sahi main galat kese?
Kuch galat tu tha, kuch galat main thi
Kuch sahi tu tha, kuch sahi main thi
Pr pyaar to dono ko barabar tha
magar rishta barabari ka kyu nhi tha?
Jab khushiyan dono ne saath mein baanti thi
Zimmedariya bhi dono ke hisse mein barabar ayi thi
Fir dukh tera bada or Mera Chhota kese?
Tu sahi main galat kese?
Tumblr media Tumblr media
Kabhi tu ruthta, kabhi main ruthti
Kabhi tu manata, kabhi main manati
Saath rahen to puri duniya se ladlenge hum
Esa kaha karte the hum
Pr ab to bs ek dusre se ladre hai
Ek dusre ko tane marre hai
Mana tu bhi tang hai, main bhi tang hu
Na tu khush hai na main khush hu
Par dukh tera bada or Mera Chhota kese?
Tu sahi main galat kese?
Tumblr media Tumblr media
dishaa
65 notes · View notes
heruntoldfeelingss · 9 months
Text
Ek waqt tha jab mujhe lagta tha k kisi insaan ko koi aur insaan badal nahi sakta jab tak vo insaan khud badalna naa chaahe. Lekin ab aisa lagta hai k jab do log saath reh rahe ho, ekdusre k liye baney ho, ekdusre ko samjhne lagey ho, toh vo ekdusre ko mohabbat se acchaiyon ki taraf laa sakte hai. Mohabbat mein bohot takat hoti hai. Sahi mohabbat ek insaan ko bana sakti hai aur waise hi galat mohabbat insaan ko todd k rakhdeti hai. Kisiko badalne ka matlab ye nahi k uss shaqs ki aadaton ko ya akhlaaq ko badla jaa sakta hai - bilkul nahi. Lekin ekdusre se kuch naya seekha jaa sakta hai. Kuch khamiyaan unmei hongi, kuch aapmei. Aapki khamiyon ko pura vo karenge, aap unki karna. Ab in sab baaton mei bas Anah ko jagah na dena. Jab vo baat aajaye na "mei kyun Karu?" Tab mohabbat peeche k darwaze se nikal jaati hai. Fir ye rishta bass ek zabardasti wala rishta bann k rehjaata hai. Mohabbat jisse bhi ho, khuloos waali ho, ikhlaas wali ho, beloos ho. Fir hi uss mohabbat mei itni takat hoti hai k insaan khudse aapki acchaiyon ki taraf mayal hojaaye. Mohabbat mei zabardasti nahi hoti. Mohabbat mei sabr hota hai. Mohabbat waqt deti hai. Mohabbat intezaar karti hai. Pata nahi ye saari baatein asaan hai ya uljhi huei lekin bass ek khyaal tha jo dil mei aaya- insaan mei tabdeeliyaan aati hai, bass waqt dene waala koi mile, sabr karne waala mile, haath pakad k acchaiyon se waqif karaane waala mile. Lekin ab iska hargiz ye matlab nahi k insaan khudse khudpe mehnat naa karke bass dusron ka aadi bann jaaye. Bht se agar magar hain inn baaton mei, lekin samjhdaar ko ishara kaafi hai.
Tumblr media Tumblr media
26 notes · View notes
ihateyouvishal · 1 year
Text
yahan se bohot dur, sahi aur galat ke pare ek maidaan hai, mai vahan milunga tujhe.
58 notes · View notes
mxsakali · 9 months
Text
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
Pata hai, Yaha se Bohot dur, galat aur sahi ke paar ek maidan hai main waha milunga tujhe.
20 notes · View notes
seasuck · 7 months
Text
Tumblr media
the way all queer people united when jordan said
"Pata hai... Yahaan se bahut door, ghalat aur sahi ke paar, ek maidan hai, main wahaan milunga tujhe"
To break through the societal norms, to be able to love without worrying about it being acceptable or not, in a world galat aur sahi ke paar.
10 notes · View notes
adropofhumanity · 1 year
Text
Tumblr media
"kuch toh galat kiya hai,
sabh kuch sahi karke"
40 notes · View notes
moonsaddict · 1 year
Text
Ab kaha lazim raha mera sahi hona,
Main kuch bhi kahun tumhein galat hi lagna hai.
19 notes · View notes
ishrathjahanms · 7 days
Text
Galat cheezon se galat insaanon se dil lagi ki keemat zindagi bhar chukana padh ta hai.
Mera tumse dil laga hai, galat saabit ho ke mujhe sahi saabit na karaa na!!!
-Ishrath Jahan.
4 notes · View notes