#sambhala
Explore tagged Tumblr posts
Video
youtube
A Truly Powerful Gem | శంభలలో ఉన్న దివ్య మణి | MPlanetLeaf
#youtube#A Truly Powerful Gem#శంభల#దివ్య మణి#దివ్యమణి#mplanetleaf#voice of maheedhar#maheedhar#sambhala#shambhala#shambala#sambala#kalki#kalkiavatar#chintamani#shambhala nagaram#shambhala nagaram in himalayas#himalayas#shambhala city in himalayas#shambhala in telugu#where shambala is located#is shambala really exist?#secrets of shambala#chintamani historia#did shambala really exist?#roerich shambhala#shambhala mystery#shambhala mystery in telugu#shambhala city#master sarvari shambhala
0 notes
Text
Mai khud ko bhut khushnaseeb manti hu ki mere gire aasun ko dekhke mujhe do teen log mujhse mere haal k bare mei puchte hai..aur ek h jo mere mathe ko sehlake mujhe pyaar krdeta hai... Uss insan k karan bhut door tak aayi hu..usi k karan kahani k antah tak bhi aaungi
#thankuu for your support#piyu k liye#pyaar se bhi pyaare ho tum#sambhala h kafi mujhe#desiblr#desi tumblr#desi tag#siyakasila#desi girl#desi core#love
10 notes
·
View notes
Text
Ek samundar hai jo mere kaabu mein hai, Aur ek katra hai jo mujhse sambhala nahi jaata. Ek umr hai jo bitaani hai tere baghair, Aur ek lamha hai jo mujhse guzaara nahi jaata
-
Wednesday, June 26, 2024, 01:01 AM, Bangalore, India
#ahmed faraz#allama iqbal#urdu quote#urdu shayari#faiz ahmed faiz#ghalib#urdu poetry#urdu#urdu literature#urdu lines
160 notes
·
View notes
Text

Hum aapke intezar mein khuda ke pyare ho gaye.
Yeh muhabbat jo hai, khuda ne dil mein dala,
Bohut mushkil se humne apne tootay huye dil ko sambhala.
Uth kar raat ki aakhri hisson mein bhi, aap ko khuda se manga.
Khuda ki rehmaton ka chaya bana rahe muhabbat ki raahon mein,
Khwab haqeeqat ban jaye.
Aap ki yaadon mein basa hai hamara jahan,
Aur aapke yaadon ka sahara, aapke khushboo se mehekte rahe.
Bas yehi dua hai, hamesha ye pyar ka rashta qayam rahe,
Hamesha ye pyar ka rasta qayam rahe.
—refat ahmed
#shyari#urdu shayari#shayri#words#my thougts#my post#my writing#poem on tumblr#urdu poems#poem on life#poem of the day#poem#reminder#life quotes#quotes#hindi shayari#pakistan#poetic#poetry#book qoute#books#beautiful quote#love quotes#love#daily reminder#life quote#urduposts#urdu lines#urdu literature#urdu poetry
27 notes
·
View notes
Text
mummmy papa plj arrange marriage bhi mat karana mujhse ni hogi yeh bakwas khud ko sambhala nahi jaata mujhse
11 notes
·
View notes
Text
Tanhai ki shab mein jalta hua ujala hoon
Khud apni hi raakh se main khudi ko phir sambhala hoon
Na humsafar, na kisi manzil ka nishaan koi
Main khud hi rahguzar, khud hi karwaan hoon
Dil ke virane mein ek shor sa utha hai
Khamosh saaz par main dard ki ghazal hoon
Zakhm jo hanste hain, aansuon se dhulte nahin
Main woh fasana hoon jo kisi se kehna nahin
Sehar ki aas mein bechain hai meri raat
Main khud hi shamma hoon, khud hi parwana hoon
5 notes
·
View notes
Text
Real men never disrespect a women theyquote Wajid Shaikh and said
Ya khuda ho sake toh mujhe beti se nawaazna, mujhe dekhkar aaj tak kisi aurat ne apna duppatta sambhala nahi hain
#wajidshaikhpoetries#shayar#wajidsays#litreature#poetry#jaun eliya#poets#shayari#sukoon#wajid shaikh
16 notes
·
View notes
Text
hai chaal mein teri zaalim kuch aisi bala ka jaadu sau baar sambhala dilko par ho ke raha bekabu
3 notes
·
View notes
Text
Ek samundar hai jo mere kaabu mein hai,
Aur ek katra hai jo mujhse sambhala nahi jaata.
Ek umr hai jo bitaani hai tere baghair,
Aur ek lamha hai jo mujhse guzaara nahi jaata
#ahmed faraz#allama iqbal#urdu quote#urdu shayari#faiz ahmed faiz#ghalib#urdu poetry#urdu#urdu literature#urdu lines
6 notes
·
View notes
Text
Pichhle saal yunhi September ki ek baarish me mujhay wo baat yaad aayi, jo pehle kabhi seekhi thi...Kay Insan ka dil Allah ki do Ungliyon me hai, wo jab chahay, usay palat Saktay Hain...jaise...wo waqt, jab mujhay baarish pasand aanay lagi. Bachpan se maine Baarish par muh banaya tha. Shayad school baarishwale dinon me start hua karta tha isliye, aur phir ground ke kichad me meray polished jootay aur safayd Uniform, dhuli dhulai cycle ke tyres, sab kichad-aalood hojate thay. Bag bheeg jata lekin waterproof tha to khayr thi, kitabon me lekin nami reh jati. Meri kitabein, jinko mai apni jaan se zyada sambhala karti thi. Mai nafasat pasand rahi hun aksar. Bachpan se. Phir college ke dinon tak, Baarish ka ye kichad aur uljhan mujhay bahot bezaar karte rahay hain. Aangan me gilay, gale hue patton ka phailna, har shay geeli aur numm. Gharme raho to neend aajati, khelne baahar koi jaane nh deta aur phir thandi baarish se beemar honay ka ehsas. Bezari si bezaari. Phir ek waqt wo aaya, jab apne shehar se door ek aisi jagah rehna pada, jahan door door tak aasmaan, Pahaad aur sookha maidan nazar aata. Apne mehfooz ghar, kichad walay school se door, anjan logon ke beech tanha hue jab maine wahan baarish hotay aur pani ki chhoti chhoti nehar banke ek taalaab me jaa miltay dekha.. Uss lamhe mein, mai pehli baar bezaar nahi hui. Pehli dafa kichad se uljhan nh hui, na hi ye fikr rahi ke saaf kapde maile hojayengay ya kitabein bheeg jayengi. Pehle ek haath aur phir saari ki saari mai, uss baarish me khari hogayi. Uss waqt nafasat ko nahi bhuli thi, bas ye eham nahi raha tha ke jootay, kapde aur cycle inki safai kabhi mustaqil hogi... Inn cheezon ko saaf rakhte rakhte shayad mai ek waqe'atan khubsoorat ehsas se door rahi thi. Meray dil me ye itminan aaya ke ye Allah ki rehmat hai, jisme mai bheeg rahi hun, mehaz pani nahi. Iss waqt mere Rabb ki tarafse sabse bada waseelah hai jissay mai Usko apne qareeb mehsoos kar rhi hun. Gharke, gharwalon ke tahaffuz se door, uss bijliyon aur garajti baarish me Allah ne mera dil badal diya tha. Yun jaise Do Ungliyon me bas chutki si bajayee ho. Uske baad se aaj tak, Baarish ne mujhay kabhi bezaar nahi kiya. Na hi kichad aalood juton ne, na hi meray maile hue safayd libas ne na hi bag me kai tahon me chhupi meri numm kitabon ne. Aaj jab mai aasman se barasti boondon ko dekhte iss bareme sochti hun, to samajh aata hai ..ke Uss din ki baarish ke zariye sirf baarish ke liye muhabbat hi nahi mili thi mujhay... balke ek mazeed ilham bhi mujhpar hua tha... Ek aur baat thi, jo wo baarish mere liye Allah ki tarafse paigam ki surat lekr aayi thi. Ye, ke koi jazbaa, koi insan, koi shay, koi haalaat itne mustaqil nahi hotay ke aapka ussay dil na uthhay. Har wo shay jisko aap chhorna chahte hain, lekin dil ke haathon majboor hain, aap Allah se kehden. Wo aapka dil badal Dengay. Ek aisi baarish, jahan saari umr ki bezari khatm hojati hai. Allah se wo baarish maangein.
©️ mashriqiyyah
#A page from my diary#rain#metaphor#Urdu writing#journaling#tumblrpost#mine#personal#change of heart
20 notes
·
View notes
Text
tere liye hi jiya mai khudko jo yun de diya hai teri wafa ne mujhko sambhala sare gamon ko dil se nikala tere saath mera hai naseeb juda tujhe paake adhura na raha


15 notes
·
View notes
Text
Aafia Shahid Ajbani 🪷
"Wo Mera Ishq tha jab mujhe ishq ka matlab bhi nhi pata tha.
Par jab dheere dheere hosh sambhala toh aehsaas hua ki ishq aur nafrat main sirf ek lakir ka farq h
Aur shayad unke liye main lakir ke uss paar khadi hu"
I am Aafia Shahid Ajbani. A simple girl of 21, settled in the city of Lahore with simple dreams. All my life i have only dealt with struggles but also among it all i have seen glimpses of true love. Since childhood, inspired by my parents love story I always craved for that 'ishq'. My soul longingly searched for it and my search came to an end when that day a boy picked me up, dusted me and tended my wounds not even realising that he was filling me with these unknown emotions as well. That day, i found my 'ishq' but my eight year old mind would have never comprehended what future held for me.
.........................................
Salam Namaste✨🙏🏻
Toh aapki lekhika sahiba ne apne khayalon se ubhri Mallika ka pehla chota sa description daal diya h...🥹🤌🏻✨
Humare hisaab se jo naam humne socha h wo unpe kaafi had tak jachta h😌✨
Anyways neeche comments main bataye ki aapko unki pehli jhalak kaisi lagi
Aur jald hi hum apne hero ka bhi description daalenge toh aap sab apne notification bhi on karlein taki ki unki bhi pehli jhalak aapko sabse pehle mile🤌🏻✨😏
Tab tak ke liye Tata bye bye🫡
PS. I am also gonna soon add her aesthetics so be ready for that as well😏
#desiblr#desi teen#desi culture#desi tumblr#desi stuff#desi aesthetic#being desi#desi shit posting#kahani#jhumkas#desi academia#artists on tumblr#desi tag#desi dark academia#desire#dark souls#poetry#poets on tumblr#poetblr#writeblr#fanfiction writer
17 notes
·
View notes
Text
Ek samandar hai Jo mere kabu main hai
Aur ek qatra hai jo mujh se sambhala nhi jata,
Ek umar hai jo bitnani hai mujhe uske bagair
Aur ek lamha hai jo mujh se guzara nhi jata.
8 notes
·
View notes
Text
"Ek samandar hai jo mere kaabu mein hai, aur ek katra hai jo mujhse sambhala nahin jaata Ek umr hai jo bitaani hai uske bagair Aur ek lamha hai jo mujhse guzaara nahin jaata...."
4 notes
·
View notes
Text
Mazzak hai kya ki tum ittne saari khushi deke chale jaate ho kahi durr.
Tumhare in khushiyo ko tinko mai sambhala hai baas ab vapas aajao ghar hujur
#art#explore#explorepage#foryou#funny#fyp#fypage#trending#trendingnow#viralpost#poetry#spilled thoughts#spilled poetry#desiblr#desi tag#desi tumblr
6 notes
·
View notes
Text
Woh ro sakte hain, toh dard mein hai
Aur uska kya, jo aasuon se na sambhala?
2 notes
·
View notes