Tumgik
#“ Jaan hai to Jahan hai
Text
Finding a treasure in the ocean. 🌊 🪸 ⛵
I believe that humans are like the sea. Everyone can swim in the sea. Only a few are brave enough to dive. The sea might look alive and colorful upside, but there's darkness hidden below. Some give up out of fear, believe that there's nothing else to be found in there. But a few, who are curious and love the sea too much, continue to dive downward. And, If they search well enough, they find some beautiful creatures who have survived amidst the darkness all this time. Those creatures are similar to the good stuff that people don't even look to find in themselves. At the end of the day, we're all just waiting for someone to show us our worth. At the end of the day, we're all just waiting to be found.
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
मेरे पास नहीं, लेकिन मेरा एहसास बनी हो तुम
यूं घुली हो मुझमें कि मेरी हर सांस बनी हो तुम।
@wizardcherryblossom 🌻💕 @bareilly-wala-jhumka 🌼 💌
Light's reflection on water reminds me of how you have light up my life...
47 notes · View notes
jknewstoday1 · 2 years
Text
youtube
0 notes
atimefordragons · 11 months
Text
Tumblr media Tumblr media
ISHQ MEIN TUNE JAANE KYA AISI CHEEZ PILA DI LE CHAL JAHAN LE JAANA HAI TUJHKO HAI AZAADI
100 notes · View notes
blogbyameera · 9 months
Text
Urdu is so beautiful like instead of saying" i miss you " you can just say " Iss qadr pyar se ae jaan e jahan rakha hai dil ke rukhsar pe iss waqt teri yaad ne hath "
76 notes · View notes
maihonhassan · 6 months
Text
"Urdu is so unnecessarily seductive like "Is qadar pyar se ai jaan-e-jahan rakha hai, dil ke rukhsar pe is waqt teri yaad ne hat" just means "I miss you" like can you not please."
Yaad ( Faiz Ahmad Faiz)
Nuskha Hai Wafa (Pg. 184)
33 notes · View notes
o-sahiba · 2 years
Text
Kisi roz mujhe, tumhe apne shehar bulana hai....
Kuch kisse tumhare sun ne hain, kuch khayal tumhe apne sunane hain...
Station par utroge jab tum, toh tumhe lene maine hi ana hai...
Naraaz matt hona, kyunki tumhe vahan thoda intezaar bhi karvana hai....
Kuch gulab tum lete ana, kuch phool'on ko maine tumhaare liye lana hai....
Dekhoge jab pehli dafa, toh thoda muskurana hai, aahan (no), galey nhi, mujhe tumse haath milana hai...
Tum hassna matt, mujhe thoda toh sharmana hai....Aakhir tumse milne mujhe pehli baar jo aana hai...
Kisi 5 star restaurant mein nhi, mujhe tumhe apne ghar ke paas vale uss café mein lejaana hai...
Jahan ka zikr maine yu'n hi baat'on mein kiya tha, vahaan tumhare saath coffee peene ka vaada mujhe nibhana hai....
Kuch baatien phir tumse bass yu'n hi krni hai, bhool gye na, abhi tumse tumhaara haal bhi poochna hai....
Phir tumhe apna shehar ghumana hai, short cut nhi, vahaan ka har lamba raasta tumhe dikhana hai...
Aahan (no), tumhe thakaana nhi hai, bass tumhaare saath thoda waqt zyada guzaarna hai....
Mere school ki gali se mere ghar ka raasta dikhana hai, maine mera bachpan jahaan guzaara vahaan ka har nazaara tumhe dikhana hai...
Hairan matt hona, magar tumhe apne ghar mein sab se milwana hai, kyu khush rehti hu main itna, akhir uss vajah ko bhi toh sabko batana hai....
Mere kamre ki diwaar'on se tumhe waqif karana hai, kuch pall ke liye tumhe vahaan akele rehne dena hai...
Aahan (no), tumhe kaid nhi krna hai, jis cheez ka vaada kiya tha, tumhare liye khud bnayi uss chai ko bhi toh lana hai...
Phir kuch baatien tumse sukoon se krni hai, yaad hai na, abhi mujhe apne dil ka haal bhi tumhe batana hai...
Tumhari baat'on mein mujhe tumhari hassi se milna hai, kitna waqt intezaar mein guzaara, usse khatm kar tumhaari aankh'on mein bhi doobna hain...
Tum zidd krna phir vapis jaane ki, andhera zyada hone ki aur din dhal jane ki...
Aakhir iss bahane hamien bahar jo jana hai, aur phir taar'on ke chaanv ke neeche kuch waqt aur guzaarna hai...
Tum thame rehna haath mera, andher'on mein mujhe thoda dar lagta hai, tum saath chalna mere, ladkhadate mere jazzbaat'on ko bhi toh mujhe sambhaalna hai...
Khule aasman ke neeche aur us nadi ke kinaare hamein kuch waqt aur guzaarna hai, tum dekhna taar'on ki taraf, mujhe toh mera chand tum mein dekhna hai...
Na kuch aur kehna hai, na hi tumse kuch aur sun na hai, vapis jaoge jab tum, toh uss waqt tumse haath nhi, mujhe tumhe apne galey lagana hai...
Aahan, hairan matt hona, tumse kuch badle mein nhi maangna hai...
Mujhe toh apni mohabbat ka izhaar tumse bss kuch yu'n hi krna hai...
Haan, issiliye, kisi roz mujhe tumhe apne shehar bulana hai...
Kuch kisse tumhaare sun'ne hain, kuch haal apne dil ka batana hai...
-jm
236 notes · View notes
mehreenkhan · 2 years
Text
Tumblr media
is qadar pyaar se ae jaan-e-jahan rakha hai
dil ke rukhsar pe is waqt teri yaad ne hath
Tumblr media
yun gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaaq
dhal gya hijar ka din aa bhi gayi wasl ki raat
Tumblr media
Yaad by Faiz
160 notes · View notes
uroldhomie · 4 months
Text
Woh aik shaqas jo mujhy taana-e-jaan deta hai marny lagta houn to marny bhi kahan deta hai? teri hi shartoon par karna hai agr tujh ko qabool yeh saholat tu phir mujh ko sara jahan deta hai!
12 notes · View notes
scribblesbyavi · 2 months
Text
Tumblr media
Koi gunah hum karein to bata dena
Aapko thik lage to humein saza dena
Humari marzi hai aapki har marzi ke saath
Aap hi se mohabbat hai bas itni si baat jaan lena
Log aksar karte hain chaand sitaron ki baat
Aap kahein to us jahan mein bana lein ashiyan apna
Is duniya se chura kar le chalein aapko apne saath
Kahein, kya aap dogey apna haath?
avis
14 notes · View notes
heruntoldfeelingss · 1 year
Text
Humans are complex beings. It takes a lot to understand with what someone's heart is made up of and what all it took them to be, who they are today. It takes a lot of patience to read someone piece by piece, to look at their scars , the unhealed wounds and still adore them as if they're a piece of art. That urge to dive deeper in their soul to know them better, to love every inch of their existence- to love someone so much that you look at them in a room full of people and your eyes refuse to look elsewhere. It's all complicated but for that one person your heart would be ready to count stars if needed- now you'd tell me , it's not really that deep- maybe. But to me, if it's love , it should be head over heels, not half-hearted, not for the sake of it - love where you're so invested in them that the world could see it without you mentioning anything about them but in your eyes and in your speech and everytime you take their name.
Insaan bohot hi pechida makhlook hai. Kisi ka dil kis tarah bana hai ye samjhna aur vo kin cheezon se guzar k aise baney hain jaise wo aaj hain ye samajhna asaan nahin. Bohot hi sabr ki baat hai kisi ko harf ba harf padhna, unke zakhmon ko dekhna jo puri tarah se bharey naa ho aur fir bhi unhein aise dekhna jaise vo nayaab ho. Unko jaan ne ki tadap, unke wajood k har hisse se mohabbat karna- kisi se itni mohabbat karna k logon se bharey kamre mei tumhari aankhein unpe se hattne ko raazi naa ho. Kaafi uljhi huei hai saari baatein ye lekin uss ek insaan ki khaatir aap taare ginne tak raazi hojaao. Ab aap kahenge, itni bhi koi gehri nahi hoti ye baatein, shayad. Lekin mere liye toh mohabbat ho toh aisi ho k koi hadd naa ho, aadhe dil se naa ho, srif kehne k liye naa ho - Mohabbat jahan aap unmei itne miley hue ho k duniya unko aap k bina kuch kahey hi, aapki aankhon mei aur aapki baaton mei aapki mohabbat ko dekhle.
Tumblr media Tumblr media Tumblr media
29 notes · View notes
mashriqiyyah · 9 months
Text
Pichhle saal yunhi September ki ek baarish me mujhay wo baat yaad aayi, jo pehle kabhi seekhi thi...Kay Insan ka dil Allah ki do Ungliyon me hai, wo jab chahay, usay palat Saktay Hain...jaise...wo waqt, jab mujhay baarish pasand aanay lagi. Bachpan se maine Baarish par muh banaya tha. Shayad school baarishwale dinon me start hua karta tha isliye, aur phir ground ke kichad me meray polished jootay aur safayd Uniform, dhuli dhulai cycle ke tyres, sab kichad-aalood hojate thay. Bag bheeg jata lekin waterproof tha to khayr thi, kitabon me lekin nami reh jati. Meri kitabein, jinko mai apni jaan se zyada sambhala karti thi. Mai nafasat pasand rahi hun aksar. Bachpan se. Phir college ke dinon tak, Baarish ka ye kichad aur uljhan mujhay bahot bezaar karte rahay hain. Aangan me gilay, gale hue patton ka phailna, har shay geeli aur numm. Gharme raho to neend aajati, khelne baahar koi jaane nh deta aur phir thandi baarish se beemar honay ka ehsas. Bezari si bezaari. Phir ek waqt wo aaya, jab apne shehar se door ek aisi jagah rehna pada, jahan door door tak aasmaan, Pahaad aur sookha maidan nazar aata. Apne mehfooz ghar, kichad walay school se door, anjan logon ke beech tanha hue jab maine wahan baarish hotay aur pani ki chhoti chhoti nehar banke ek taalaab me jaa miltay dekha.. Uss lamhe mein, mai pehli baar bezaar nahi hui. Pehli dafa kichad se uljhan nh hui, na hi ye fikr rahi ke saaf kapde maile hojayengay ya kitabein bheeg jayengi. Pehle ek haath aur phir saari ki saari mai, uss baarish me khari hogayi. Uss waqt nafasat ko nahi bhuli thi, bas ye eham nahi raha tha ke jootay, kapde aur cycle inki safai kabhi mustaqil hogi... Inn cheezon ko saaf rakhte rakhte shayad mai ek waqe'atan khubsoorat ehsas se door rahi thi. Meray dil me ye itminan aaya ke ye Allah ki rehmat hai, jisme mai bheeg rahi hun, mehaz pani nahi. Iss waqt mere Rabb ki tarafse sabse bada waseelah hai jissay mai Usko apne qareeb mehsoos kar rhi hun. Gharke, gharwalon ke tahaffuz se door, uss bijliyon aur garajti baarish me Allah ne mera dil badal diya tha. Yun jaise Do Ungliyon me bas chutki si bajayee ho. Uske baad se aaj tak, Baarish ne mujhay kabhi bezaar nahi kiya. Na hi kichad aalood juton ne, na hi meray maile hue safayd libas ne na hi bag me kai tahon me chhupi meri numm kitabon ne. Aaj jab mai aasman se barasti boondon ko dekhte iss bareme sochti hun, to samajh aata hai ..ke Uss din ki baarish ke zariye sirf baarish ke liye muhabbat hi nahi mili thi mujhay... balke ek mazeed ilham bhi mujhpar hua tha... Ek aur baat thi, jo wo baarish mere liye Allah ki tarafse paigam ki surat lekr aayi thi. Ye, ke koi jazbaa, koi insan, koi shay, koi haalaat itne mustaqil nahi hotay ke aapka ussay dil na uthhay. Har wo shay jisko aap chhorna chahte hain, lekin dil ke haathon majboor hain, aap Allah se kehden. Wo aapka dil badal Dengay. Ek aisi baarish, jahan saari umr ki bezari khatm hojati hai. Allah se wo baarish maangein.
©️ Zeenat Nazeer 🕊️
18 notes · View notes
om-is-ok · 1 year
Text
Lyrics which reminds me of you:
सुरीली अँखियों वाले, सुना है तेरी अँखियों से, बहती है नींदें और नींदों में सपने, कभी तो किनारों पे उतर मेरे सपनों से, आ जा ज़मीन पे और मिल जा कहीं पे, मिल जा कहीं ओ ओ, मिल जा कहीं समय से परे, समय से परे मिल जा कहीं, तू भी अँखियों से कभी मेरी अँखियों की सुन...
Tere liye chaand bhi rukta hai, tere liye oas tehrti hai, yaad nahi tha, yaad aaya...
Chand aasmano se laapata ho gaya, Chal ke mere ghar mein aa gaya, aa gaya... Main khush kismat hoon bakhuda iss tarah, Ho jaaye poori ik dua jis tarah... Tere bin meri jaana kabhi, Ek pal bhi guzaara nahi... Teri aarzoo ne khud se begana kar diya...
तुझे सोचता हूँ मैं शाम-ओ-सुबह इससे ज़्यादा तुझे और चाहूँ तो क्या? तेरे ही ख़यालों में डूबा रहा इससे ज़्यादा तुझे और चाहूँ तो क्या?
Dekha hazaron dafa aapko, Phir beqarari kaisi hai, Sambhale sambhalta nahi ye dil, Kuch aap mein baat aisi hai...
Tum sabah ho, ya ghata ho khekasha ho saiba ho, Subha ki pehli kiran ke jaise, Beba ke alhade pawan ke jaise, Khusboyein tum lootathi ho, Masti mein chur chur, Masha allah, masha allah, masha allah...
Uska hoon, usmein hoon, Us-se hoon usi ka rehne de, Main to pyaasa hoon hai dariya wo zariya wo jeene ka mere, Mujhe ghar de, gali de, shehar de, Usi ke naam ke, Kadam yeh chalein ya rukein, Ab usi ke vaste, Dil mujhe de agar dard de uska par, Uski ho wo hansi goonje jo mere ghar, Aye Khuda, aye Khuda jab bana uska hi bana...
है जो ईरादे बता दूँ तुम को शरमा ही जाओगी तुम, धडकने जो सुना दूँ तुम को घबरा ही जाओगी तुम, हम को आता नही है छुपाना होना है तुझं मै फणा, चांद सिफ़ारिश जो करता हमारी देता वो तुमको बता...
Jab tujhko paata hai Dil muskurata hai, Kya tujh se hai waasta, Kya tujh me dhoondu main, Kya tujh se chaahu main, Kya kya hai tujhme mera, Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya, Par ajnabi apna mujhe tu lagaa, Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya, Par ajnabi apna mujhe tu laga...
और मिश्री सी तेरी बातें ये, यूँ हौले-हौले याद आ रहीं हैं, और मीठी सी तेरी यादें अब, यूँ रातों में सुला जा रहीं हैं
....
तेरा, तेरा ही, मैं हो गया हूँ सोने के महलों में, तेरा, तेरा ही, मैं हो गया हूँ मिट्टी के शहरों में
Marhami sa chaand hai tu, Diljala sa main andhera, Ek dooje ke liye hain, Neend meri khwaab tera, Tu ghata hai phuhaar ki, Main ghadi intezaar ki, Apna milna likha issi baras hai na, Jo meri manzilon ko jaati hai, Tere naam ki koi sadak hai na, Jo mere dil ko dil banati hai, Tere naam ki koi dhadak hai na...
Marne ka sabab maangta raha dar-ba-dar, Mitne ko toh dil pal mein raazi hua, Poori hui har aarzoo har daastaan meri, Ke tum shuru hue jahan main khatam hua... Kurbaan hua…
Hale dil tujhko sunata, Dil agar yeh bol pata, Bakhuda tujhko hai chahta jaan, Tere sang jo pal bitaata, Waqt se main woh maang laata, Yaad karke muskuraata haan...
Tham gaya ye shama hosh hai laapta tere deedar kar, Rafta rafta sanam tumse mili nazar toh hua hai asar...
खामोशियाँ जो सुनले मेरी इनमे तेरा ही ज़िक्र है खाव्बों में जो तू देखे मेरे तुझसे ही होता इश्क है, उल्फत कहो इसे मेरी ना कहो है मेरा कुसूर कोई हूर.. जैसे तू कोई हूर.. जैसे तू...
Sundar sundar woh haseena badi sundar sundar, main to khone laga, uske nashe mein bin piye behka...
Kisi shaam ki tarah tera rang hai khila, Main raat ek tanha tu chand sa milla, haan tujhe dekhta raha kissi khwab ki tarah jo ab samne hai tu ho kaise yakeen bhala, Toota jo kabhi tara sajna ve tujhe rab se maanga rab se jo maanga mileya ve...
क्या कह के गया था शायर वो सयाना, आग का दरिया डूब के जाना, तू सबर तो कर मेरे यार, ज़रा सांस तो ले दिलदार, चल फिकर नू गोली मार यार है दिन जिंदडी दे चार, हौले हौले हो जाएगा प्यार चलिया, हौले हौले हो जाएगा प्यार
Par uss ladki ka thoda alag andaz, Ankhey nashili uska chehra noorani, Jab chalti thi lagti thi, Dunia ki rani, Meethi meethi uski batein, Uski apni ada thi vo sabsey juda...
Tumblr media Tumblr media
31 notes · View notes
blogbyameera · 7 months
Note
What is your favourite poetry and why?
" Iss qadr pyaar se ae jaan e jahan rakha hai dil ke rukhsar pe iss waqt teri yaad ne hath "
This few lines from Faiz Ahmed Faiz's poetry " Yaad " is my fav , because it reminds me of my baba <'3
16 notes · View notes
aashufta-sar · 1 year
Text
Tumblr media
Tumhein dil hi dil mein pukara karein ge
Woh ruswa ho kab yeh gawara karein ge
Tumblr media
Yeh dil cheez kya hai yeh jaan bhi luta dein
Zara sa agar woh ishara karein ge
Tumblr media
Nigah e karam woh dobara karein ge
Isi aarzoo mein guzara karein ge
Tumblr media
Bana ke humein ik jahan ka tamasha
Badi door se woh nazara karein ge
25 notes · View notes
tawaifeddiediaz · 2 years
Photo
Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media Tumblr media
FAVOURITE CHARACTERS + a color that suits their vibe
for @pscentral​‘s event 06: favourite characters/performers
(image description below the cut)
[Image ID: seven rectangular gifs of multiple characters from different movies and TV shows. Each gif is two blended gifs: a zoomed image of the character on one side, and a gif with movement on the other. The gifs are colored vibrantly, with the name of the character in the center in bold, color font and lowercase letters. Above the center text is the media title in white, uppercase letters. Below the center name is a prominent quote from the character in white, lowercase letters:
GIF 1: A purple-themed gif of Eddie Diaz. The right gif is Eddie looking up at Linda in 5.13. The left gif is him twisting around as he laughs at ridiculous notion of jinxes in 4.06. The center text reads "Eddie Diaz". The top text reads, "9-1-1 (2018-)" and the bottom text reads, "I'm going to be better...for myself."
GIF 2: A pink-themed gif of Aasiyah Qazi. The right gif is Aasiyah spinning around in slow motion, a wide smile on her face as her hair flares behind her and her skirt flares around her. The left gif is Aasiyah standing with a blue scarf on her head, tilting her head fondly at Raees' antics. The center text reads "Aasiyah Qazi." The top text reads, "Raees (2017)" and the bottom text reads, "shah jahan bana phirta hai...battery sala. phaati gayi na?" The translation of this means, "You roam around like you're Shah Jahan...a freaking battery. Scared you, didn't I?"
GIF 3: A red-themed gif of Veer Pratap Singh. The right gif is Veer, kindly bidding Zaara well-wishes at the train station. The left gif is Veer dancing during the Lodi celebrations. The center text reads "Veer Pratap Singh." The top text reads, "Veer-Zaara (2004)" and the bottom text reads, "Sarhaad paar ek aisa shaks hai, jo aapke liye apni jaan bhi de dega" The translation of this means, "Across the border, there is a person, who will give even his life for you."
GIF 4: A green-themed gif of Gangubai Kathiawadi. The right gif is of Ganga spinning and dancing during the celebrations. The left gif is her lying on her side in her white sari, smiling wryly at the politician who came to ask for her help. The center text reads "Ganga Kathiawadi." The top text reads, "Gangubai Kathiawadi (2022)" and the bottom text reads, "jab shakti, sampatti, sadbuddhi, yeh teeno hi auratein hai, toh inn mardon ko kis baat ka guroor" The translation is, "When women are the embodiment of strength, wealth and intelligence, then what makes these men so arrogant/superior."
GIF 5: A blue-themed gif of Leela Sanera. The right gif is of Leela playfully holding a gun out at Ram during the Holi celebrations. The left gif is of Leela spinning and dancing during Navrati. The center text reads "Leela Sanera." The top text reads, "Goliyon Ki Raasleela Ram-Leela (2013)" and the bottom text reads, "besharam badtameez khudgarz hota hai...par pyar toh aise hi hota hai." The translation is, "It's shameless, mannerless and selfish...but that's just how love is."
GIF 6: An orange-themed gif of Bucky Barnes. The right gif is of Bucky rolling his shoulder to reset his prosthetic arm. The left gif is of him staring out into the sunset with a slight smile on his face. The center text reads "Bucky Barnes." The top text reads, "The Falcon and the Winter Soldier (2022)" [this is a mistake, it should read (2021)!] and the bottom text reads, "i am no longer the winter soldier. i am james bucky barnes, and you're part of my efforts to make amends."
GIF 7: A yellow-themed gif of Taani Gupta. The right gif is Taani smiling widely after winning the initial dance competition. The left gif is Taani dancing among the other ladies. The center text reads "Taani Gupta." The top text reads, "Rab Ne Bana Di Jodi (2008)" and the bottom text reads, "jab ek ladki ko khuli aankhon se sapne dikhne lagte hai na...toh phir uski duniya badal jaati hai." The translation is, "When a girl starts seeing dreams with her eyes open, then her world chanages."
/end ID]
119 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 11 months
Text
sapna humara
//
woh sapna tera hoga khelega woh jahan mera basera hoga uski har khilakhilaahat mein apna savera hoga woh khwaab mera hoga
thoda humara, thoda tumhara, aayega phir se bachpan woh pyaara…
woh jaan meri hogi woh duniya teri hogi khelegi jab tere aanchal se woh muskaan meri hogi woh pari apni hogi
thodi humari, thodi tumhari, banegi woh iss ghar ki raj dulari…
woh jeevan pran humara, woh dil o jahaan humari…
jo bhi ho woh humaari aankhon ka sitaaraa mil kar hum banayenge ek sansaar humara,
uski har saans se mehekega pyaar humara… thoda humara, thoda tumhara, behad aziz hoga gul e milan humara.
//
@ronaldofandom - remember the song i wrote for that chapter??
@carminavulcana - purana hai, aur neeraj ki paati se inspired hai, lekin*shrugs*
12 notes · View notes